Baba mere baba..(2)
Haaye,
Shaah ki laadli jab qaidiye zindaan hui
Royi, ghabrai bohot aur pareshaan hui
qaidkhane ki ghutan maut ka samaan hui
jaan lagta tha ke masoom ki bejaan hui
laash shabbir ki maqtal mein tadap jaati thi
qaidkhane se jo bachi ki sadaa aati thi
Ab mujhe koi sakina nahi kehta baba..(2)
Qaidi kehta hai koi..(2)
koi yateema baba….
Ab mujhe koi…
1. Mai bayaa’n kaisi karu apni musibat tumse
kya karu apne tamacho’n ki shikayat tumse
sunti hu dadi ne khaya tha tamacha baba
Ab mujhe koi…
2. Neel rukhsaro’n pe beenai bhi jiski kam ho
umr ho chaar baras aur kamar mein kham ho
aap ne dekhi hai kya..(2), aisi zaeefa baba
Ab mujhe koi…
3. Khoon besheer se andaza kiya tha maine
aap ka chehra to pehchaan liya tha maine
aap pehchanoge kaise mera chehra baba
Ab mujhe koi…
4. Aap the door to mai saare sitam sehti rahi
ro padi koofe ke darbaar mein mai seh na saki
aapke saamne jab..(2), jab shimr ne maara baba
Ab mujhe koi…
5. Wo to beemar thi mar jati safar mein aake
dafn karte use bazaar mein bhaiyya kaise
ye to acha hua..(2), aayi nahi sughra baba
haye, sughra baba
6. Meri aankho’n se bahe jaate the aansu us damm
haath bhi maine lagaya nahi daadi ki qasam
dena chaha tha mujhe..(2), logo ne sadqa baba
Ab mujhe koi…
7. Us ghadi dhoondh rahi thi mai chacha jaan ka sar
kaise batlau ke kya guzri teri beti par
mujhko zalim ne kaneezi mein jo maanga bab
Ab mujhe koi…
8. Bayn ye karte hi khamosh hui wo akbar
aaj to jaaenge saath apne mujhe bhi lekar
aap ko meri qasam..(2), kijiye wada baba
Ab mujhe koi…
Comment