Salam Hussain | Nadeem Sarwar | New Noha | 2020

 

Safar hayat ka, chahe tamam hota rahe.
Hazar dard ho, zikre Imam hota rahe.
Salaam hota rahe…
Salaam hota rahe…
Salaam hota rahe…

Fatima ke chaen ko ×2
Nabi ke Noor-e-ain ko ×2

Fatima ke chaen ko, Nabi ke noor-e-ain ko ×2
Baa khuda Husain ko Salaam.

Toh kaho…×2
Salaamun Alaika Ya Aba Abdillah ×4
Safar hayat ka chahe tamam hota rahe ×2
Salaam hota rahe…
Salaam hota rahe…
Salaam hota rahe…
Maulana Husain Husain, Maulana Husaine ×2

Saara zamana hai tumhara Husain,
Kehti hai har Qaum, hamara Husain.
Goonjta hai samt hai naara Husain,
Toote dilon ka hai, sahara Husain.
Maula tera naam sada zinda rahega,
Maula tera kaam sada zinda rahega.
Hum rahe, na rahe, yeh sada zinda rahe.

Salaamun Alaika Ya Aba Abdillah ×2
Salaam Husain, maula Salaam Husain ×4
Maulana Husain Husain, Maulana Husaine ×2

Maula Husain ibne Ali marhaba,
Marhaba sad Marhaba sad Marhaba.
Zulm ke toofan se ladta raha,
Katke bhi sar aapka ooncha raha
Maula sada teri Azadari rahegi,
Maula tere gham se wafadaari rahegi.
Hum rahe, na rahe, yeh sada zinda rahe.

Salaamun Alaika Ya Aba Abdillah ×2
Maula Husain maula, hamara salaam lo,
Maula Husain maula, hamari sada suno ×2
Maulana Husain Husain, Maulana Husaine ×2

Aapka maula jo azadar hai,
Aapke ghar ka woh wafadar hai.
Aapki chahat ka talabgaar hai,
Majlis-o-Matam se use pyaar hai.
Maula gulamo me mera naam bhi likhdo,
Kam jo naukar ka hai, woh kaam bhi likhdo.
Hum rahe, na rahe, yeh sada zinda rahe.

Salaamun Alaika Ya Aba Abdillah ×2
Salaam Husain, maula Salaam Husain ×4
Maulana Husain Husain, Maulana Husaine ×2

Pyara hai mitha hai madina mera,
Rehte jaha sohne Nabi Mustafa (S.A.W)
Jisne diya humko yeh Deen-e-Khuda,
Aur nawasa bana uski Baqa.
Aao chale karbobala, tumko dikhaae,
Aaj bhi aati hai bahattar ki sadaaye.
Hum rahe, na rahe, yeh sada zinda rahe.

Salaamun Alaika Ya Aba Abdillah ×2
Maula Husain maula, hamara salaam lo,
Maula Husain maula, hamari sada suno ×2
Maulana Husain Husain, Maulana Husaine ×2

Sheh ke Azadaro salamat raho,
Maula ke paigaam ko jaari rakho.
Amn-o-Mohabbat ki hifazat karo,
Dil ko yunhi dil se milate raho.
Maula ka tum aakhri sajda na bhulana,
Matami bacchon ko namazi bhi banana.
Hum rahe, na rahe, yeh sada zinda rahe.

Salaamun Alaika Ya Aba Abdillah ×2
Safar hayat ka, chahe tamam hota rahe.
Salaam hota rahe…
Salaam hota rahe…
Salaam hota rahe…

Mere maula, mere aaqa Husain…
Husain woh hai jise, Karbala salaam kare,
Nabi, Ali-o-Hasan, Fatima (S.A) salaam kare.
Husain maula ki, azmat bayan kaise ho,
Husain woh hai jise, Qibriya salaam kare.

Salaam Husain ×2
Ae shahe shaheedan, Ae jaane madina,
Ae naze Faqirah, Maula-e-Ghareeban.
Roti, sisakti hai, Duniya Bilakti hai,
Har aankh, har lamha, gham se chalakti hai.
Dil dil se milade, zehno ko sajade,
Phulon ko khila de, kaaton ko hatade.
Allah ke wasile, Ahmad(S.A.W) ke nawase,
Haider ke sitaare, Zahra(S.A) ke dulaare.
Haa aaqa hamare.
Salaam Husain ×3

Aao Azadaro karo matam-e-sarwar karo,
Ya Husain, Husain Ya Husain, Husain.
Matam e Abbas karo, Matam e Akbar karo,
Ya Husain, Husain Ya Husain, Husain
Bali sakina ka kabhi matam e Asghar karo ×2
Zainab-o-Kulsoom ka gham, matam-e-chadar karo.

Shah Salamun Alaik ×2
Shah Salamun Alaik ×2

Ya mere maula salaam,
Shah Salamun Alaik.

Ya mere aaqa salaam,
Shah Salamun Alaik.

Qasim-o-Akbar salaam,
Shah Salamun Alaik.

Aabid-o-Asghar salaam,
Shah Salamun Alaik.

Haaye, Ghazi dilawar salaam,
Shah Salamun Alaik.

Haaye, Zainab-o-Kulsoom Salaam,
Shah Salamun Alaik.

Aun-o-Mohammad Salaam,
Shah Salamun Alaik.

Pyasi sakina Salaam, Shah Salamun Alaik.
Haaye, Pyasi sakina Salaam, Shah Salamun Alaik.

Ya mere maula Salaam, Shah Salamun Alaik.
Ya mere maula Salaam…
Husain ×10.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *