Zameen e Karbala Walay | Ya Mehdi (AJF) | Mir Hasan Mir | New Noha 2017 /1439 [HD]

 

 Zameen-e-Karbala Walay Tujhe Awaz Daitay Hain.
Bahatar Be-Kafan Lashay Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Hai Kahin Ganjay-e-Shaheedan Mein Rakhi Gathri Koi.
Kisi Ki Lash Ke Tukray Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Chalte Naqay Se Giray Jo Maon Ki Aagosh Se.
Woh Sare Be-Zubaan Bache Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Tishnagi Aa Kar Sakina(SA) Our Asghar(AS) Ki Bujha.
Na Jane Kab Se Woh Pyase Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Al-Ajal Kehti Hain Jholay Ki Sulagti Lakriyaan.
Kahin Jalte Howay Khaimay Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Unn Ki Mazloomi Musaiyab Ki Zameen Se Poch Le.
Woh Do Bachay Ruqaiya(SA) Ke Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Jalte Khaimo Se Bacha Kar Layi Jo Sajjad(AS) Ko.
Ossi Ke Paon Ke Chalay Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Jo Shaheedan-e-Wilay-e-Murtaza(AS) Hai Aaj Bhi.
Kafan Bandhe Howay Sar Se Tujhe Awaz Daitay Hain.
 
Halqa-e-Matam Mein Aa Kar Aye :TAKALLUM: Matami.
Tujhe Awaz Dete The Tujhe Awaz Daitay Hain.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *