Zahoor kab hoga nohay
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
Tarap rahain Hain is hasrat me aaj ham mola
khuda ke waste ab kijiye karam mola
ye haal hai(n) ke nikalta hai apna dam mola
jabeene dhundti hai aap ke qadam mola
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
Tumhi Se Milne ko ham jamkaran tak pohnche
jahan pe aaye ali us makan tak pohnche
samandaron me phire har jahaan tak pohnche
nishani hai jo teri us nishan tak pohnche
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
gayi hai(n) jaisay zade pao(n) ghaibat e sughra
usi tareekay se rukhsat ho gaibat e kubra
tumhare deed ki surat yehi hai ab mola
zamana daikhe imamat ka aakhri jalwa
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
karay ge aap jo makkay se karbala ka safar
hamara naam bhi ho kash farsare mehzar
chalenge sath tumhare jo moniso yawar
bas aisay waqt ka talib hai ye dil-e-muztar
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
tumhare naam pe sadqe karain ye sar kaisay
lutaye shaam-e-gharibaa(n) me apna ghar kaisa
hamare haal hi ki pohnche tum ko khabar kaisay
zahoor hoga tumhara yahan magar kaisay
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
bulaye jaayenge akber sunane ko parenge
dast bureeda alam uthane ko chalenge
jhoolay se asghar bhi muskurane ko magar
na jaaye ga ab koyi qaid khaane ko
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
ama saron se bhi chin jai gi rida ki qasam
dua kalejo se uthe ka kerbala ki qasam
adu koyi na bacha ga yaha(n) khuda ki qasam
katenge dast e sitam baazu-e-wafa ki qasam
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga
(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga
‘abad’ to aaj hai sarwar ke sogwaro(n) mei
khuda kare ke yehi kal ho un baharo(n) mei
paye jihad ho maqtal ke sab sawaro(n) mei
lahu ‘abad’ ka bhi shamil ho jaanisaro(n) mei

Comment