Ya Ali Ya Ali Murtaza a.s | Shadman Raza | Nohay Lyrics | 2016

 

Nauhagar zamee hai qoon rorahaa hai Aasma
Masnad e aza bichii huwii hai barsare Jinaa
Daastaan e panjatan pey rorahey hai do jahaa
Kaanptii hai ye sadaaye sunkey qabr e Mustafa

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

Aasmaa se deyrahaa hai ek munaadi ye sadaa

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

1) Baad e payambar wo zulm huwaa
Aal e Nabi ka koi na Rahaa
Rassi se hyder ka baandha galaa
Pehlu e Zehra bhi toda gayaa

Roti thi binte Nabi yaani hamraaz e Ali (2)
Haaye ye zamaana humsey kitni jaldi phirgayaa

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

2) baandhkey hyder Ko rassio se
Galiyo mey zaalim jab lekey chaley
Naala o shewan Zehra ney kiye
Baazu pey Shamsheer ke kund padey

Fatema par ye jafaa wo bhi peysh e Murtaza (2)
Ek shikasta pehlu bibi par Sitam ki intehaa

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

3) Dil mey liye ghum Zehra margayi
Qaana e hyder soona kargayi
Fatema peysh e paigambar gayi
Pehlu shikasta hi leykar gayi

Hogaye tanha Ali dekhleejey ya Nabi (2)
Dard e Dil bayaa kareyga kissey shaah e laafata

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

4) Zainab o kulsoom Hasnain sabhi
Kartey hai mehsoos amma ki kamii
Kaisi museebat ye Aan padii
Rotey hai tanhaayiyo mey Ali

Sabr e ayyoobi kaha sabr e hyderi kahaa (2)
Qabr ka nishaan bhi bamasl hai chupaadiya

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

5) Silsila e zulm phir bhi na rukaa
Qatl Ali Ko masjid mey kiyaa
Qoo se musalla rangeen huwa
Ghar mey qudaa ke hai hashr bapaa

Chalgayi teyg e jafaa zaqmi hai sher e qudaa (2)
Kaun rotiya yateem bacho Ko khilaayega

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

6) zehr e dagaa phir Shabbar Ko diyaa
Jiskey asar se Dil tukdey huwa
Daag e yateemi qaasim Ko milaa
Teero se laashey Ko Chalni Kiya

Hasan e sabzqabaa bhi na dunya mey rahaa (2)
Juz Husain panjatan mey ab koi nahi bachaa

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

7) daste Sitam aur kuch aagey badhaa
Saamney aayi phir karbobala
Shimr ka qanjar beykas pey chalaa
Behno ke aagey sarr sheh ka kataa

Cheeqtii thi fatema rehm kar Behr e qudaa (2)
Kardiya sitamgaro ney panjatan ka qaatema

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

7) laasho pey ghodey daudaaye Gaye
Bibiyo ke Dil dehlaaye Gaye
Haath rasan se bandhwaaye Gaye
Pushto pey durrey barsaaye Gaye

Shab ki taareeqiyo mey jiska taaboot utha (2)
Uski betiya phiraayi jaarahi hai beyridaa

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

8) nauha wo Naushad jo tuu ney likha
Shadma ye hai Zehra ki ataa
Qabr e Nabi aur shaah e laafata
Zeyr e kafan qudd Kartey hai bukaa

Peeto sarr Ahley AZA fatema dengii jazaa
Ye wo ghum hai Ahley aasmaan mey bhi hai bapaa

Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *