Amma Mera Janaza | Hashim Sisters Imam Hussain Noha 2022 | Muharram 1444 | New Nohay 2022 | Karbala

Ya Hussain Ya Hussain

Karbobala Mein Phaila Tha Har Samt Shor O Shay
Teeron Py Gir Rahy Thy Rehwar Sy Hussain
Ro Ro Ky Kar Rahy Thy Madar Sy Apnay Bayn
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Aankhon Sy Ashk Dil Sy Tapakta Hai Ab Lahu
Amma Meri Nazar Mein Andhera Hai Char Soo
Tan Par Libas Bhi Nahi Chorhen Gy Yeh Adoo
Amman Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Itny Lagy Hain Teer Badan Taar Taar Hai
Zakhmon Mein Jalti Rait Sy Dil Bey Qaraar Hai
Moonis Faqat Hussain Ka Parwardigar Hai
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Ankkhon Ka Noor Ly Gaya Laila Ka Noor E Ain
Bey Noor Ran Mein Ho Gaya Amman Tera Hussain
Marnay Ky Baad Bhi Na Mily Ga Sukoon O Chain
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Abbas Bhi Chala Gaya Maqtal Mein Chorh Kar
Dariya Py So Raha Hai Kamar Meri Torh Kar
Amman Bata Do Bhai Ko Dariya Py Dorh Kar
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Teer E Sitam Sy Soya Hai Maqtal Mein Sheer Khuwar
Asghar Ki Qabr Khod Ky Roi Hai Zulfiqar
Dill Ko Rabab Ky Na Mily Ga Kabhi Qaraar
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Amma Sitam Garon Sy Bacha Lo Hussain Ko
Shimr E Laeen Sy Barh Ky Churha Lo Hussain Ko
Goudi Mein Phir Sy Apny Sula Lo Hussain Ko
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Amma Tumhary Laal Ka Hai Waqt Yeh Karha
Hai Shimr Apny Hathon Mein Khanjar Liye Kharha
Zainab Ki Bey Ridaai Ka Ehsas Hai Barha
Amman Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amman Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Subhan Kat Gaya Shah E Mazloom Ka Gala
Roti Rahi Janazay Pa Bety Ky Fatima
Parhti Hain Lab Ba Hashmi Behnon Ki Yeh Sada
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Sara Lahu Badan Ka To Maqtal Mein Beh Gaya
Amma Mera Janaza Bhi Teeron Py Reh Gaya

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *