“Labaik allahuma labaik, Labaik la sharika laka labbayk,
Innal Hamda wan nimata laka wal mulk,
la sharika lak.” Jis waqt yeh zamana Makke me aaraha hai
Tera hussain tere kaabe se jaraha hai Ya rab gawah rahiyo
Sadme utha raha hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
Nana Ki Qabr Chordi Maa Ka Mazar Chorda Bhai Hasan
Ka Marqad Apna Dayar Chorda Ab Yeh Naya Sitam
Bhi Dil Par Utha Raha Hai Tera hussain tere kaabe se
jaraha hai 2)Mai Ibne Hajira Hoo Makka Mina Beta Mai
Anbiya Ka Waris Marwa Safa Ka Beta Roro Ke Aabe Zamzam
Mujhko Bularaha Hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
3)Fakhre Khaleel Mai Hoo Shane Kaleem Hoo Main Malik
Tu Jaanta Hai Zibhe Azeem Hoo Mai Tifli Ka Aaj Apna
Wada Nibharaha Hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
Kaabe Ke Teri Hurmat Paamal Hona Jaye Mere Lahu Se
Makka Sab Laal Hona Jaaye Badal Musibaton Ka Ab Sar Pe Charaha Hai
Ehraam Me Chamakte Khanjar Chupe Huwe Hain In Hajion
Me Khooni Lashkar Chupe Huwe Hain Qismat Ka Ab Sitara
Gardish Me Aaraha Hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
Malik Yeh Hajre Aswad Bhi Jaanta Hai Mujhko Makke Ka
Zarra Zarra Pehchanta Hai Mujhko Rutba Magar Muslma Mera
Ghata Raha Hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
Chiti Ko Bhi Ama Hai Makke Ki Sar Zamee Par Par Mujhko
Chain Haaye Milta Nahi Kahee Phar Thokar Pe Aaj
Thokar Shabbir Kharaha Hai Tera hussain tere kaabe
se jaraha hai 8)Haji Sabhi Mina Me Qurbaniyan Karenge
Par Karbala Me Akbar Qurban Ham Karenge Is Waaste Pisar
Bhi Hamrah Jaraha Hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
Be Aab Karbala Me Mehmaan Yeh Bhi Hoga Akbar Ka Zikr
Kya Hai Qurbaan Yeh Bhi Hoga Godi Me Maa Ke Asghar Jo
Muskura Raha Hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
Ehsaas Kaise Likkhe Lafzon Me Aah “Ainee” Mudh Mudh Ke
Dekhte The Kaabe Ko Shah “Ainee” “Aamir” Yeh Shahedeen Ka
Nouha Sunaraha Hai Tera hussain tere kaabe se jaraha hai
“Labaik allahuma labaik, Labaik la sharika laka labbayk,
Innal Hamda wan nimata laka wal mulk, la sharika lak.”
Comment