Jaliyon Par Nighaain | Hafiz Tahir Qadri | Manqabat | 2018-19

 

Faslo ko khudara mita doo..
Rukh say parda, ab apne hata do..
Apna jalwa, Iisi main dikha do..
Jaliyon per nigahein jami hain..

 

Madat….. madat… madat..

Aik mujrim siyah kar houn main..
Har khata ka saza war houn main..
Meray charoon taraf hai andhera..
Roshni ka talab gar houn main..
Eik diya hee samajh kay jala do..
Jaliyon per nigahein jami hain..

ya shaikh mohiuddin..
ya sayyad mohiudddin..
ya maulana mohiudddin..
ya makhdum mohiudddin..
ya darwesh mohiudddin..
ya kwaja mohiudddin..
ya sultan mohiudddin..
ya shah mohiudddin..
ya gaus mohiudddin..
ya khutub mohiudddin..
ya sayyad-as-salaarr abdul qadir mohiudddin..

Wajd main aaye ga sara aalam
Ham pukarein gay, Ya Ghous e Azam
Woh nikal aayein gay jaliyoon say
Aur kadmoon main gir jayein gay hum
Phir kahein ge, ke bigri bana do…

Jaliyon per nigahein jami hain..

Almadat ya gaus.. almadat ya gaus…

Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
Noor ho noor-e-salle ala ho
Kiya bayan aapka martaba ho
Dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna kara do..
Jaliyon per nigahein jami hain..

 

Almadat ya gaus.. almadat ya gaus…
Madat….. madat… madat..

Sun rahe hai wo faryaad meri
Khakh hogi na barbaad meri..
Mai kahi bhi maro shahe jiila
Rooh pahuchegi baghdaad meri
Mujhko parwaz ke par laga doo..
Jaliyon per nigahein jami hain..

ya shaikh mohiuddin..
ya sayyad mohiudddin..
ya maulana mohiudddin..
ya makhdum mohiudddin..
ya darwesh mohiudddin..
ya kwaja mohiudddin..
ya sultan mohiudddin..
ya shah mohiudddin..
ya gaus mohiudddin..
ya khutub mohiudddin..
ya sayyad salaarr abdul qadir mohiudddin..

Har wali appke zere pa hai..
Har ada mustafa ki aada hai..
Appne din zinda kiya hai..
Doobto ko sahara diya hai..
Meri kasti kinare laga doo..
Jaliyon per nigahein jami hain..

Almadat ya gaus.. almadat ya gaus…
Madat….. madat… madat..

Fiqr dekho khayalat dekho
Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
Main houn kiya meri auqat dekho
Samnay kiski hai zaat dekho
Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do
Jaliyon per nigahein jami hain..

Almadat ya gaus.. almadat ya gaus…

ya shaikh mohiuddin..
ya sayyad mohiudddin..
ya maulana mohiudddin..
ya makhdum mohiudddin..
ya darwesh mohiudddin..
ya kwaja mohiudddin..
ya sultan mohiudddin..
ya shah mohiudddin..
ya gaus mohiudddin..
ya khutub mohiudddin..
ya sayyad salaarr abdul qadir mohiudddin………..

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *