Isiyan Nahi Ye Matam | Hassan Sadiq | Nohay 2020

 

ya hussain ya hussain ya hussain

ya hussain ya hussain ya hussain

matam ki sadaaon se hum arsh hila daingey

matam hai ye ibadat, duniya ko bata daingey

isiyan nahi ye matam, kartey rahey hain saarey x 3

is farz main shamil hain allah k nabi(saaw) payrey

rota furaat bhi hai bach’chon ki tishnigi per

paani se peett’tey hain abbas ko kinarey

isiyan nahi ye matam, kartey rahey hain saarey x 3

main dekhoon kis tarha se kartey nahin ho matam

karriyal jawan ka laasha ho saamney tumharey

isiyan nahi ye matam, kartey rahey hain saarey x 3

be’gor-o-be’kafan hon kunbey tere ki laashen

khaimey jala k tere, koi chaadaren utaarey

isiyan nahi ye matam, kartey rahey hain saarey x 3

pa’band rassiyon main zahra(s.a) ki baittiyan thee

hum kiyun na sar ko peettain , aabid(a.s) ko korrey maarey

isiyan nahi ye matam, kartey rahey hain saarey x 3

ehsaan hussain (a.s) ka hai, zibh-e-azeem ban kar

qurbaan kar ka apney, hain bacha liyey tumhare

isiyan nahi ye matam, kartey rahey hain saarey x 3

najfi hussaini matam, momin ki ibaadat hai

karti hain hoor-o-ghilmaan, kartey hain chaand taarey

isiyan nahi ye maatam kartey rahey hain saarey

is farz main shamil hain allah k nabi(saaw) payrey

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *