Sultan E Karbala | Irfan Haider

 

Hussain Hussain Hussain Hussain (a.s)
Sabeel, rizq, tabarruk, niyaz ki soorat
Hussain baat raha hai khuda ke bando ko
Hussain…
Hussain hussain Hussain
Ya habibi, Ya Hussain (x2)
Roohi lakal fida
 
Hussain! Hussain!
Sultan e Karbala
Hussain! Hussain!
Bunyaad e la ilaah
 
Eyes will cry for you, time will pass and you remain
In the heart of voice keeps calling at O Hussain
 
Al hamd teri shaan mein aayi hai ya Hussain
kabze mein tere saari khudayi hai ya Hussain
Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima
subhe dahum se hai awaaz e karbala
maqrooz hai tera, har banda e khuda
 
Hussain! Hussain!
Sultan e Karbala
Hussain! Hussain!
Bunyaad e la ilaah
 
Tune zamee’n kharidi jo akbar ke naam par
jageer hai wo teri shehenshah e behrobar
Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima
ek samt tera darr, ek samt bawafa
tune bana diye, do qible ek jagah
 
Hussain! Hussain!
Sultan e Karbala
Hussain! Hussain!
Bunyaad e la ilaah
 
Har saal arba’een pe dekha hai ye samaa
aake karodo log jhukate hai sar yaha’n
Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima
sab pursa daar hai, hum aur ambiyaa
aate hai sab yaha’n dete hue sadaa
 
Hussain! Hussain!
Sultan e Karbala
Hussain! Hussain!
Bunyaad e la ilaah
 
Teri sakhawato ki hai ye bhi to ek daleel
khud pyaasa qatl hoke hume baksh di sabeel
Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima
pyaasa nahi yaha’n, za’er koi tera
kya hai ye mojiza?, ya hai karam tera?
 
Hussain! Hussain!
Sultan e Karbala
Hussain! Hussain!
Bunyaad e la ilaah
 
Aye khoon e Kibriya, dar dasht e karbala
tu fat-ha paa gaya, jab hurr ne keh diya
 
Hussain! Hussain!
Sultan e Karbala
Hussain! Hussain!
Bunyaad e la ilaah
 
Jiski rago mein aatish e badr o Hunain hai
tere siwa wo kaun shahe mashreqayn hai
Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima
Ashoor dekh kar, sabit ye hogaya
dar asl hai tuhi, bunyaad e la ilaah
 
Hussain! Hussain!
Sultan e Karbala
Hussain! Hussain!
Bunyaad e la ilaah
 
Aye shahe karbobala, ho tera matam sadaa
bus yehi armaan hai, Mazhar o Irfan ka
As salam aye ghareeb ul watan as salam (x2)
 
Rukhsar jo lahu mein huwe tar, unhe salam
jo bibiya thi ban mein khule sar, unhe salam
naizo pe jo sajaye gaye sar, unhe salam
barsaye jinpe logo ne patthar, unhe salam
 
As salam aye ghareeb ul watan as salam (x3)
 
 
 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *