Haye… Hussain
Haye Hussain.., Haye Hussain..
Haye Hussain.., Haye Hussain.. Haye Hussain
Haye Hussain.. Haye Hussain
Shimr ne Gardan e Mazloom (As) pe khanjar jo rakha
Kuchh qadam door se deti rahi Zainab ( Sa) ye sada..
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shimr (layin) khanjar na chala
Jod kar haath ye kehti rahi Bint-e-Zahara (Sa)
Shimr khanjar na chala..
Aakhri baar bahen choom le bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Teer jee bhar ke ise maar chuka hai lashkar
Barchhiyañ pahlu me tooti hain sitam aur na kar
Khud hi aa jayegi kuchh der mein bhai ko qaza
Shimar khanjar na chala..
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Aakhri mujhse mulaqat use karni hai
Aisa lagta hai koi baat use karni hai
Kitni hasrat se mujhe dekh raha hai bhaiya
Shimr (La) khanjar na chala
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Minnateñ karti hooñ zalim teri, Aisa tu na kar
Asr ke waqt mere ghar me andhera, tu na kar
Shaam se pehle bujhaata hai Charagh-e Zahra
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Ye Dil o Jaan-e Rasool-e Arabi hai, zalim
Saath Mazloom ke, ye be adabi hai zalim
Misl-e-Qur’aan Hai Ye ! zaanu to Seene se hata
Shimar Khanjar Na Chala
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Haaye…
Sun ke halmin ki sada aayi hai rann me bachchi
Chal na jaaye kahiñ donoñ pe layeeñ teri chhuri
Dekh bhai ke gale par hai Sakina ka gala
Shimr Khanjar Na Chala..
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Kaat kar shaam hi le jaane hain sar, tujhko agar
Pher le Aun o Mohammad ke galoñ per, khanjar
Mere bhaiya ke na kar jism se, tu sar ko juda
Shimar Khanjar Na Chala
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Dekh sakta tu jo nazar aata hai mujhe
Wasta deti hooñ tat’heer ki aayat ka tujhe
Haath Amma ne hai Shabbir (As) ki gardan pe rakha
Shim’r khanjar na chala
Aakhri baar Bahen choom le Bhai ka gala
Shim’r khanjar na chala.
Kaat kar sajde mein Akbar shahe wala ka gala
Shimr hansta hua Shabbir ke seene se utha
Goonjti rah gayi Maqtal mein ye Zainab ki sada
Shim’r Khanjar Na Chala
Shimr (layeen) Khanjar Na Chala.
Comment