Nohay Mola Qasim | Hashim Sisters Nohay 2020 /MAIN HOON YAHAN CHACHA | New Noha 2020 I Muharram 1442

Main houn yahan Chacha
 
Qasim ki ran me shah ne jis dam suni pukar,
Pahunche palak jhapakte he wo sue-karzaar,
Qasim nazar na aate the uthta tha ek ghubar,
Aawaz shah dete the ho ho ke beqarar,
‘Bole Husain’, ho na saka jab koi kalam,
Qasim bula raha hai tumhe waqt ka imam.
 
Tukde uchal ke lash ke, daynay lagay sada,
Main houn yahan chachaaaaa
Main houn yahan chacha
Main houn yahan chacha
 
Mujhko ajal ne kar diya majboor ay chacha,
Aaye jo aap aa gaya hai noor ay chacha,
Hokar qareeb ho gaya hun door ay chacha,
Zakhmo se dekhiye hun bahut choor ay chacha,
Mai to hazar tukdo me taqseem ho gaya,
Aayi wo neend mujhko ke ran he me so gaya
 
Ran me layeen jo aaye to, mismar kar diya,
Maine adu ka jeena he, dushwar kar diya,
Azraq jo mujh pe toota to, finnaar kar diya,
Fauje-adu ne makr se, phir vaar kar diya,
Aakar zamin pe mera bura haal ho gaya,
Mai dekhte he dekhte pamal ho gaya
 
Behta hai khoon zakhm, tapakta hai baar-baar,
Kaisi ye neend aayi chacha, kaisa hai Khumaar,
Mujhpe na reh gaya hai, mera jaise ikhteyar,
Kar di hai maine dekhiye, ja’n aap par nisaar,
Mujhko na apni maut ka kuch bhi malal hai,
Tanhayi ka bas aapki mujhko khyaal hai
 
Meri tarah se jab sabhi, ho jayenge juda
Ammu ko jab furaat pe, aa jayegi qaza
Asghar bhi jab hayat se, ho jayega khafa
Sehra me aap tanha jo, reh jayenge chacha
Nusrat ko aapki wahan phir kaun aayega
Shimre-layeen halq pe khanjar chalayega
 
Soncha nahi tha ayse, mujhe aap payenge
Tukde hai jism kis tarah, isko uthayenge
Khaime me kaise le ke ise, aap jayenge
Amma’n ko kis tarah mera la-sha dikhayenge
Wo zindagi ki qaid hee se choot jayegi,
Toota hun jis tarah se main voh toot jayegi
 
Qasim ka hijr ahle-haram ko rulayega
Kubra ke dil ko sabr bhala, kaise aayega
Ibne-Hasan ko kaise koi, bhool payega
Farwa ke laal ki jaha’n Mehndi uthayega,
Maham, Adeeya, Saania ke honge jab kalaam
Tauqeer Zaidi royenge Qasim ka le ke naam
 
 
 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *