Saqa E Sakina Abbas E Alamdar
Saqa E Sakina Abbas E Alamdar
Hay Abbas Hay Abbas Hay Abbas
Hay Abbas Hay Abbas Hay Abbas
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Pathar Ankhain Bariyan
Pyasoun Ka Lahu To Arza Tha Pani Ki Wo Mahngaiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Ashoor Ko Pyasi Bhatiji Se Wada Jo Tera Pura Na Hua
Pani Pe Larazti Hain Ab Tak Abbas Teri Parchaiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Farzand E Ali Zahra Ke Pisar Jald Ao Tarai Se Uth Kar
Phir Khana E Zahra Jalta He Lot Aain Hain Phir Balwaiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Jis Din Se Gay Farzand E Nabi Soni He Pari Aik Aik Gali
Hum Jholiyan Ban Gayin Sughra Ki
Piti Yadain Tanhaiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Ay Daman E Sahil Tu Inko Abbas Ke Shany Mat Kehna
Ye Zabt E Wigha Men Hain Ghazi Ki
Do Tooti Hui Angraiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Medan Men Aun O Mohammad Ne
Dariya Ki Taraf Rukh Bhi Na Kiya
Dekhi Nagain Youn Pyasoun Ke
Pani Se Ye Be Parwaiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Hain Aik Rasan Men Bara Galy
Say Ke Satay Dhoop Jaly
Be Parda Phirai Jati Hain
Abbas Teri Maa Jaiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Noras Ghunchay Pamal Huy
Gul Phool Samar Behaal Huy
Zahra O Ali Ke Angan Men Aunki Chal Gayin Parwaiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Tujhe Shadman Rota He Abtak
Ay Seena E Zakhmi Akber Ke
Dekhin Hain Sarosh Ne Ashkoun Men
Tery Zakhm Ki Si Gahraiyan
Pathar Ankhain Bhariyan
Ghazi Ki Yaad Men Youn Roi Sakina
Comment