Maula Hamara
Sab Ka Sahara
Zahra Ka Pyara
Haq Ka Nazara
Dil Ki Sada Hai Ya Hussain
Khoon Mein Basa Hai Ya Hussain
Tum Bhi Kaho Ya Hussain
Hum Bhi Kahen Ya Hussain
Sab Mil Ky Kaho Ya Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Taskeen E Qalb E Fatima
Ay Janasheen E Mustafa
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Jab Tak Hai Baqi Dam Mein Dam
Wada Hai Ya Shah E Umam
Ghar Mein Bicha Kar Farsh E Gham
Pursa Sada Den Gay Baham
Matam Karen Gay Aap Ka
Shah E Shaheed E Karbala
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Taskeen E Qalb E Fatima
Ay Janasheen E Mustafa
Hussain Jan Fida Hussian Marhaba
Jis Khak Mein Abbas Ka
Khoon E Wafa Shamil Hua
Us Khak Sy Kaisy Bhala
Ghafil Rahen Ahl E Aza
Woh Khak Hai Khak E Shifa
Shah E Shaheed E Karbala
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Taskeen E Qalb E Fatima
Ay Janasheen E Mustafa
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Kuch Is Tarha Wafa Wafa
Khanjar Talay Tum Ny Kiya
Shah E Shaheed E Karbala
Hona Kahan Aasan Tha
Ban Kar Magar Dikhla Diya
Shah E Shaheed E Karbala
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Taskeen E Qalb E Fatima
Ay Janasheen E Mustafa
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Bety Bhtaeejay Bhanjay
Qurban Deen Par Kar Diye
Kitny Hi Ranj O Gham Sahay
Lekin Nahi Peechay Hatay
Kartay Rahay Shukr E Khuda
Shah E Shaheed E Karbala
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Taskeen E Qalb E Fatima
Ay Janasheen E Mustafa
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Woh Waqt Bhi Aya Keh Jab
Maray Gaye Ansar Sab
Hanstay Thy Ran Mein Bey Adab
Phir Bhi Shah E Aali Nasab
Ummat Ko Dety Thy Dua
Shah E Shaheed E Karbala
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Taskeen E Qalb E Fatima
Ay Janasheen E Mustafa
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Ghar Lut Gaya Sar Kat Gaye
Tar Khoon Sy Thi Karbala
Wada Har Ek Poora Hua
Goonji Fizaon Mein Sada
Husssain Marhaba Marhaba Ya Hussain
Shaheed E Karbala Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Waqar E Nainawa Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Behan Ny Qatal Gaah Ki
Taraf Jun Hi Nigah Ki
Hisar Mein Sipah Ki
Hussain Ki Toh Aah Thi
Hai Bey Khata Mera Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Churhi Galay Py Chal Gayi
Badan Sy Jaan Nikal Gai
Faraat E Gham Machal Gai
Jo Kafiat Badal Gai
Bay Gor O Bay Kafan Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Siyah Aandhian Chaliin
Falak Hila Hili Zameen
Kahin Py Khush Thy Ahl E Keen
Qayamat Aa Gai Kaheen
Tarhap Tarhap Ky Sayeda
Yeh Kehti Thiin Ay Karbala
Tha Mera Laal Bay Khata
Tu Kiun Hui Hai Yeh Jafa
Hai Mera Ladla Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Asif Woh Zahra Ka Pisar
Tarhpa Jo Khak E Garm Par
Hansty Thy Ran Mein Ahl E Shar
Kaisy Likhun Al Mukhtasar
Hashim Yeh Noha Reh Gaya
Shah E Shaheed E Karbala
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Taskeen E Qalb E Fatima
Ay Janasheen E Mustafa
Hussain Jan Fida Hussain Marhaba
Hussain Hussain Imam Hussain
Comment