Shab e Ashur | Shadman Raza | Noha Lyrics | 2015

 

Haaye haaye haaye..(2)
Ghabraegi zainab, ghabraegi zainab
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
ali ki laadli ghabra rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)
ali ki laadli ghabra rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)

1. {Zamee’n chup hai falak sehma hua hai
dil e zainab paresha’n ho raha hai}..(2)
ghata zulm o sitam ki chhaa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)

2. {Qaza ki zadd pe zahra ka chaman hai
husaini qafela tashna dahan hai)..(2)
lahu chashme falak barsa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)

3. {Jidhar dekho nazar aata hai lashkar
ajab purhal hai sehra ka manzar}..(2)
yazeedi fauj simti aa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
4. {Kabhi auno mohammad ko bulaya
kabhi seene se akbar ko lagaya}..(2)
kabhi abbas ko samjha rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai

5. {Kabhi gehwara e asghar jhula kar
kabhi godi mein bhai ko utha kar}..(2)
sakina khud ko yu behla rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai

6. {Rasool e paak ki masnad bichakar
ali akbar ko pehlu mein bithakar}..(2)
sukoon e qalb zainab paa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai

7. {Khamoshi dasht mein chai hui hai
sakina aaj ghabrai hui hai}..(2)
sadaa e al atash bus aa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
8. {Qalam khursheed likhta hi rahega
ghame shabbir ka dariya bahega}..(2)
gauhar fikre rasa barsa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *