Sakina Aur Zahra | Mir Hasan Mir | Noha | Bibi Fatima Zehra | 2021

 

Sakina Our Zahra Ki Musibat Aik Jaisi Hai.
Hain Tooti Pasliyaan Dono Ki Halat Aik Jaisi Hai.
 
Wahan Bint-e-Rasool ALLAH Ka Pehlu Shikasta Hai.
Yahan Bachi Ke Kano Se Abhi Bhi Khon Rista Hai.
Lehad Mein Ja Ke Bhi Dono Ki Ghurbat Aik Jaisi Hai.
 
Wahan Qunfuz Ke Hathoon Ne Koi Tehreer Likhi Hai.
Yahan Tehreer Zalim Shimar Ke Hathoon Ki Milti Hai.
Likhi Dono Ke Chehron Par Abarat Aik Jaisi Hai.
 
Gayin Ik Aik Dar Par Fatima Shehar-e-Madina Mein.
Sakina Darbadar Phirti Rahi Hai Sham-o-Kofa Mein.
Wilayat Ke Liye Inn Ki Musafat Aik Jaisi Hai.
 
Sar-e-Darbar Dadi Our Poti Ki Hoi Peshi.
Woh Atharah Baras Ki Our Yeh Hai Chaar Barson Ki.
Na Jane Phir Bhi Kyun Baloon Ki Rangat Aik Jaisi Hai.
 
Ossay Kehte They Yasrab Walay Roye Shehar Se Bahir.
Tamachay Martay They Sham Walay Iss Ko Roney Par.
Dilon Mein Baap Ko Roney Ki Hasrat Aik Jaisi Hai.
 
Sitamgar Ke Tamachay Ki Na Jane Kaisi Zarbat Hai.
Saharey Se Chalein Dewar Ke Dono Qayamat Hai.
Nazar Kuch Bhi Nahi Aata Basarat Aik Jaisi Hai.
 
Galay Se Murtaza Ke Rasiyaan Zahra Churati Hain.
Sakina Tauq Pe Sajjad Ke Pani Bahati Hain.
Imamat Ke Liye Dono Ki Mehnat Aik Jaisi Hai.
 
Mita Dena Nishan-e-Qabar-e-Maiyyat Qabar Mein Rakh Kar.
Wilayat Ka Koi Munkir Nahi Aaye Janazay Par.
Imam-e-Waqt Se Unn Ki Wasiyat Aik Jaisi Hai.
 
Qayamat Ban Ke Aaya Tha :TAKALLUM: Waqt Magrib Ka.
Idhar Bali Sakina Ka Udhar Zahra Ka Dam Nikla.
Jahan Se Inn Ke Jane Ki Bhi Saat Aik Jaisi Hai.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *