Roza Daro Khak Urao | Farhan Ali Waris | Noha | 2020

 

Roza daron khak urao qatl Haider(a.s) ho gaye,

Farsh e ghum ghar ghar bichhao
Qatl Haider(a.s) ho gaye.1) Jo abhi amma ke ghum me baithi hai thame jigar۔2
Ye khabar Zainab(s) ko sunao,
Qatl Haider(a.s) ho gaye.

 Zaher phaila hai lahoo me roke kehta tha tabeeb۔2
Itna gehra hai ye ghao,
Qatl Haider(a.s) ho gaye.

 Koofe ki galiyon me matam hai yateemon ki buka۔2
Kon sahara hai batao,
Qatl Haider(a.s) ho gaye.

Khandan e Saiyada(s) pe hain qayamat ke ye din۔2
Noha Zehra(s) ko sunao,
Qatl Haider(a.s) ho gaye.

 Saiyadon ke ghar hai matam saiyad o sardar ka۔2
Pursa dene ghar ghar jao,
Qatl Haider(a.s) ho gaye.

Mazhar o Farhan hum bhi hain yateeman e Ali(a.s)۔2
Apna ghum apno’n sa manao,
Qatl Haider(a.s)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *