Qafila Aagaya Noha

 

Haan…
Haaye sughra..(4)
Palte zindaa’n se jis waqt ehle haram
aur nazdeek e yasrab huwe mehwe ghum
haye sughra,
sughra ne khabar jab paayi
wo ghar se nikal aayi
Deti huwi sadaa…
aao ehle madina aao, phool barsao nazrein bichhao
saare yasrab ki galiyaa’n sajao..(2)
ab charagha yahaa’n..(2) bemisaal karo
mere baba ka istaqbaal karo..(2)
qafla aagaya..(3)
Mere baba ka…
qafla aagaya
 
1. Guzrenge jahan se baba mere, mehkao wo galiya’n saari
tum unpe nichawar jaan karo,
hojau mai sadqe waari..(2)
is ghar ki bahaare lekar, wo dekho mere darr par
qafla aagaya..(3)
mere baba ka..
qafla aagaya
 
2. Lo aaj phire din sughra ke, kehte hai sabhi do raahe
kal zinda laash ke jaisi thi
ab jeene ko dil chaahe..(2)
lo badla naseeb is ghar ka, ham shakle payambar ka
qafla aagaya..(3)
mere akbar ka
qafla aagaya
 
3. Ek saal huwa veeran huwe, aaghosh meri aur pehlu
ab laut ke aate hai asghar
aur dil pe nahi hai qaabu..(2)
aai hai meri maadar bhi, hai godi mein asghar bhi
qafla aagaya..(3)
mere asghar ka
qafla aagaya
 
4. Ab chayn se soyega yasrab, na khauf hai na veerani
laut aaye safar se ghar apne
wo shere khuda ka saani..(2)
mash’hoor hai jo taaqat mein, lo unki qayadat mein
qafla aagaya..(3)
mere ghaazi ka
qafla aagaya
 
5. Nagaah sada sughra suni, kehti hai ali ki beti
 bekaar hai tera khush hona
ujdi hai ye sayyed zaadi..(2)
haye karbobala mein lutkar, zindaa’n se reha hokar
qafla aagaya..(3)
tere baba ka..
qafla aagaya
 
6. Mat soch ke aaye hai baba, mat soch ke aaye akbar
darya pe chacha sota hai tera
jungle mein hai tera asghar..(2)
roti hai lahu ye aankhein, ek qaidi ke saaye mein
qafla aagaya..(3)
tere baba ka…
qafla aagaya
 
7. Ghum aur khushi ke pehlu hai, kya dard bhara hai manzar
rota hai lahu irfan e azaa
alfaaz bhi tere mazhar..(2)
zainab ne kaha ghabrake, masooma ko dafna ke
qafla aagaya..(5)

 

 

 
 

 

 

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *