Hussain Hussain Mola Hussain
Hussain Hussain Aqa Hussain
Nahin bhoolengay Mola Hussain
Nahin bhoolengay Aqa Hussain
Vaada hai yeh Bibi x2
Hussain Hussain Mola Hussain
Hussain Hussain Aqa Hussain
Hussain Tum Ko Bhala, Kaisay Bhool Jaaengay x2
Jahan bhi hongay vahin x2
Farshe gham bichaaengay
Dilo dimaagh o nazar mein basa kay Karbobala
Karengay majlis o matam bicha kay farsh e Aza
Hava ki zad pe charagh e wafa jalaaengay
Koi jo maange to apna, khushi sey sar dengay
Hum apni jaan bhi qurbaan, tum pey kardengay
Jo humney vaada kiya, hai ussey nibhaaengay
Qasam Khuda ki hai jab tak, humaaray dum mein dum
Tarap tarap kay karengay, hum aapka matam
Ye qarz ajre risaalat ka ham chukaaengay
Humesha phoolay phalaygi, yeh taaziadaari
Humein hai jaan sey pyaari bohot azadari
Kabhi Alam tou kabhi, taziya sajaaengay
Watan mein maah e Muharram ka chaand dekhtay hain
Kaleja thaam kay hum gham ka chaand dekhtay hain
Nibhaate aaey hain yeh, rasm hum nibhaaengay
Zamaana laakh sitam par, sitam karein hum par
Hamaara chain o sukoon cheen lay ya maal o zar
Qadam humaarey kabhi bhi na jag magaaengay
Janab e Fatima kay noor, ain ka pursa
Imam e Waqt ko dengay Hussain ka pursa
Tamaam umr yunhi, royengay rulaaengay
Nazar niyaaz tabarruk, na hone dengay kam
Sabeelay yunhi lagaengay yaad e Shah mein hum
Baraaye naam e shohada yunhi lutaaengay
Huye hain zulm jo Aal e Rasool par ASIF
Baghair jurm jo kaatey gaye hain sar ASIF
Hum unki yaad ey HASHIM sada manaaengay
Nahin bhoolengay Mola Hussain
Nahin bhoolengay Aqa Hussain
Ashoor ka manzar
Hussain ka sar
Paamal Qasim
Seena e Akbar
Aun o Mohammad
Baysheer Asghar
Ghazi Ka Parcham
Lakhon Sitamgar
Masoom Sakina
Zainab Ki Chadar
Comment