Nadeem Sarwar | Kulsoom Ney Mehmil | 2002

Yasrab Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Yasrab Nazar Aaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Munh Dhanp Ky Rony Lagi Ahmad Ki Nawasi

Weeran Dar O Baam Thy Allah Keh Udasi

Ujrha Bani Hashim Ka Mahalla Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Woh Galiyan Jahan Aon O Muhammad Kabhi Khailey

Abdullah Wahan Phirty Thy Khamosh Akaily

Har Simt Mein Bachon Ka Sarapa Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Sughra Ny Khabar Paai Ky Laot Aaye Musafir

Khush Ho Gai Rozy Py Nabi Ky Hui Hazir

Kya Socha Tha Sughra Ny Usy Kya Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Ujrhi Hui Har Maan Ki Thi Har Goud Thi Khali

Asghar Ka Shalooka Tha Sakina Ki Thi Bali

Abbas Ka Parcham Bhi Akela Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Jis Waqt Ruki Nana Ky Rozy Py Amari

Naqy Sy Giri Khak Py Woh Dard Ki Mari

Rota Hua Nana Ka Jo Chehra Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Sughra Ny Kaha Amman Sy Kiun Goud Hai Khali

Ek Aan Bhari Bano Ny Kuch Munh Sy Na Boli

Rony Lagi Jalta Hua Jhoola Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Bin Bhai Ky Dakhil Hui Jo Apny Hi Ghar Mein

Ghash Aa Gaya Taqat Na Rahi Qalb O Jigar Mein

Bey Gor O Kafan Bhai Ka Lasha Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Hujre Mein Nazar Aaye Nahi Qasim O Akbar

Kehny Lagi Main Chorh Gai Thi Yeh Bhara Ghar

Ghar Qabr Ky Mahol Mein Dhalta Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Bistar To Wahan Aon O Muhammad Ky Sajy Thy

Aur Taaq Mein Asghar Ky Khilony Bhi Rakhy Thy

Lekn Na Koi Khailney Wala Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil K Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Ay Sarwar O Rehan Gham Shah E Huda Sy

Syedanian Uthiin Na Kabhi Farsh E Aza Sy

Ankhon Mein Lahu Honton Py Noha Nazar Aaya

Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya

Yasrab Nazar Aaya

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *