Yabna Zahra Ya Abbas
Ya Abbas
Syedi Ya Abbas
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Kal Bhi Alam Tera Ooncha Raha Hai
Aaj Bhi Hai Aur Kal Bhi Rahy Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Tery Alam Ky Saye Mein Duniya
Apni Muraden Mang Rahi Hai
Tery Alam Ky Saye Mein Aa Kar
Jo Nahi Manga Woh Bhi Mily Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Is Ko Abu Talib Ny Banaya
Mery Nabi Ny Is Ko Sajaya
Bit E Asad Ny Sehra Charhaya
Sehra Ky Bachon Py Saya Kary Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Han Yeh Alam Hamza Ka Alam Hai
Han Yeh Alam Jaffar Ka Alam Hai
Han Yeh Ghadeer E Khum Ka Bharam Hai
Sab Parchamon Ka Yeh Maula Rahy Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Chadar E Zehra Is Ka Pharaira
Phatka Bhi Hai Zainab Ki Dua Ka
Aisy Bandhi Hai Mashk E Sakina
Rishta Alam Sy Is Ka Rahy Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Bhool Nahi Sakta Yeh Zamana
Pani Py Parcham Ka Lehrana
Hath Katana Mashk Bachana
Ban Ky Wafa Tu Zinda Rahy Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Yun To Bahut Zainab Py Sitam Tha
Lekin Woh Gham Jo Koh E Alam Tha
Woh Tera Gham Tha Woh Tera Gham Tha
Dil Tery Gham Mein Rota Rahy Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Syedi Abbas
Zair E Alam Rehan O Sarwar
Noha Parho Yun Ashk Baha Kar
Shad Hon Zehra Bint E Payambar
Ashk E Aza Yeh Kehta Rahy Ga
Ghazi Alam Tera Ooncha Rahy Ga
Comment