Ye Maan kahan na thi
Yasrib mein aayin khuab mein Zainab s.a ko yun Batool s.a
Maatha bhara tha khoon mein Sar par Rida na thi
Zainab s.a ne puchha kiske Lahu se jabeen he laal
Maan tum par to aafat e safar e Karbala na thi
Ro kar kaha Batool s.a ne tum yaad to karo
Tum apni yaad ko zara abaad to karo
Kis waqt kis jagah mein shareek e aza na thi
Ye maa kahaan na thi
Zainab s.a safar mein saath Tere Maan kahan na thi
Ye maa kahan na thi
Royi Tumharey saath bahattar ki laash par
Akbar s.a ki lash par Ali Asghar a.s ki lash par
Zainab s.a m ein kis shaheed ki sahib aza na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab s.a safar mein saath tere Maan kahan na thi
Ye maa kahan na thi
Jhara tha kisne baalon se sehra e Karbala
Kisne bichhaya aake musalla e Karbala
Haye haye me Karbala mein shab e qatl kya na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere Maan kahan na thi
Ye maa kahan na thi
Rakht e Kuhan Hussain a.s ne manga tha jis ghari
Khaimey mein Bibi tum ko ghash aya tha jis ghari
Khaimey ke peechhe Rone ki meri sada na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab s.a safar mein saath tere Maa kaha na thi
Ye Maa kahan na thi
Rukhsat ko aya Khaimey mein jab Ibne BuTurab
Thami thi tumne jis ghari mazloom ki rakaab
Kyaa sath sath ghorey ke mein nangay paa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab s.a safar mein saath Tere Maa kaha na thi
Ye Maa kahan na thi
Jab Tum Giri thin bhai ke laashey pe oontt se
Naaqey pe tum sawaar thi bazu rasan mein they
Kya baal kholey laashey pe Khair-un-Nissa s.a na thi
Ye Maa kahan na thi
Zainab s.a safar mein saath Tere Maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
Yasrab se ta ba Maariya aur wahan se ta ba Sham
Hamraah thi qadam ba qadam saath gaam gaam
Zainab s.a kahin Hussain a.s se Zahra s.a juda na thi
Ye Maa kahan na thi
Zainab s.a safar mein saath Tere Maa kaha na thi
Ye Maa kahan na thi
Zainab ne arz ki ke baja kehti hain Janab
Mein sun rahi hun jo ba Khuda kehti hein Janaab
Ay Waalida mujhe khabar e Dast O Paa na thi
Ye Maa kahan na thi
Zainab s.a safar mein saath Tere Maa kaha na thi
Ye Maa kahan na thi
Imsaal bhi Najaf ka irada tha ay Dabeer
Aur Karbala bhi jaaoun ye socha tha aye Dabeer
Par reh gaye tarap ke ke kismat rasa na thi
Ye Maa kahan na thi
Zainab s.a safar mein saath Tere Maa kaha na thi
Ye Maa kahan na thi
Comment