Akbar Ali Akbar..(3), Ali Akbar
Chala jo khaime se marne rasool jaisa pisar
to peeche peeche ye kehte hue chale sarwar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(3)
Kuch der to jee le tera..(2), baba ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
1. Tum zee’n se giroge to badal jayegi duniya
maqtal ki taraf kaun hamein leke chalega
qatil to bataenge na..(2), rasta ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
2. Beemar e madina ki khabar aati hi hogi
tum saath liye jaate ho beenayi bhi meri
haye mai kaise padhunga khate..(2), sughra ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
3. Ho jayega mushkil mera aana mere beta
maqtal mein kahi’n door na jaana mere beta
haye ab mujhse chala bhi nahi jaata ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
4. Ehsaas tadapne ka hamare tujhe hota
meri tarah tu apna jigar thaam ke rota
tera bhi jo hota kabhi..(2), beta ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
5. Haye nana mere puche jo kaha’n der lagayi
keh dena ijazat badi mushkil se hai paayi
lag jao gale aake..(2), dobara ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
6. Nana gaye jab aayi thi amma pe zaeefi
tum jaate ho haalat hai ajab bint e ali ki
zainab hui jaati hai zaeefa ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
7. Aye laal tujhe karta hu baba ke hawale
maidaan mein haste hai khade barchiyo wale
achhi tarha phir dekh lu..(2), seena ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
8. Sar peet ke maula ne takallum ye sadaa di
hai chadar e zainab meri ghurbat ki gawahi
mai tumko kafan de nahi sakta ali akbar
Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2)
Comment