Mir Hasan Mir | Ali Un Wali Ullah Noha | 2014

 

Haaa
Ash hado anna ali un waliullah x 2
 
Ya ALI (AS)
Ya ALI (AS)…..4
 
Hay ALI (AS) …..4
ZEHRA (SA) Se Poocho Kya Hai ALIYUN WALIULLAH
Is Ke Liye BATOOL (SA) Ka Do Bar Ghar Jala
Baghdad, Sham O Kufa, Khurashan O Karbala
Ummat Ne Fatema (SA) Ko Kahan Dukh  Nahi Diya
Sab Kuch Lutaya Deen Ki Hifazat Ke Waste
ZEHRA (SA) Ujad Gai Hai Wilayat Ke Waste
 
Darbar Mein Bacha Ne…..2 …..Gai FATEMA ZEHRA (SA)
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Sunta Na Tha Madine Mein ZEHRA (SA) Ki Koi Baat,
Le Kar HASAN (AS) HUSAIN (AS) Ko Har Subha Apne Sath
Ghar Ghar Pe Yaad Jaa Ke ……2….. Dilati Thi SAIYADA (SA)
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Gam Mein ABUTURAB (AS) Ke Ghut Ghut Ke Mar Gai
Dar Parda FATEMA (SA) Ki Wasiyat  Yahi To Thi
Aaie Na Woh Janaze Par……2….. Jisne Nahi Padha
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Tooti Hui Thi Paslilyan, Dam Tha Ruka Hua
Tha SAIYADA (SA) Pe Jalta Hua Dar Gira Hua
Phir Bhi Lab E BATOOL (SA) Pe ……2…… Jari Thi Yeh Sada
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
ZAINAB (SA) Pukari Aaie Mere Mazloom Be Watan
Wada Tumhari Lash Pe Karti Hai Yeh Bahan
Ek Din Zaroor Shaam Ki……2…… Galiyon mein Goonjenga
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Aaie Najaf Se  Shaam E Ghariba Mein Jub ALI (AS)
ZAINAB (SA) Yeh Keh Ke Apne Padar Se Lipat Gai
Khanjar Tale Bhi Bhai Ke Zakhmi Labon Pe Tha
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Boli SAKINA (SA) Aaya Jo Zindan Mein SHEH (AS) Ka Sar
Kaise Batau Shaam Ka Kaise Kiya Safar
Gir Gir Ke Khoon Kano Se……2…… Deta Raha Sada
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Zindan Mein Ek Kabr Banane Ke Waste
Humsheer Ka Janaza Uthane Ke Waste
Nade ALI (AS) Ki Shakl Mein……2…… SAJJAD (AS) Ne Padha
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Namehramon Ki Bhid Thi Darbar E Shaam Mein
ZAINAB (SA) Ne Deke Khudba Zabane IMAM (AS) Mein
Be Waqt Ki Azan me…..2…… Dab Ne Nahi Diya
ALIYUN WALIULLAH…..4
 
Maan Ki Lahad Pe  Bain Takallum The Beti Ke
Pehlu Pe Zakhm Kha Ke Bachaya Tha Aap Ne
Main Ne Rida Luta Ke…..2….. Bacha Ya Hai Ba Khuda
ALIYUN WALIULLAH…..4

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *