Mesum Abbas | Karbala Jaana Noha | 2017

 

Karbala Jaana  …..4
Kyun Itne Pareshan Ho, Aaye Sheh (ASWS) Ke Azadaron
Kyun Tham Te Nahi Aansun…..2
Kyun Chak Gariban Ho…..2
Jo Kaabe Ka Kaaba Hai Woh Aap Ka MAULA (ASWS) Hai
Woh Izn E Safar Dega, Koi Nahi Rokega
Udh Ke Chale Jaaonge, Aaisa Sukun Paaonge
Gam Apne Bhulaonge…..2
Dilon Ka Dard Batana , Sub Apna Haal Sunana
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
La Raib Yahi Sach Hai, Jo Karbala Jaate Hai
Who Khud Se Nahi Jaate SHABBIR (ASWS) Bulate Hai
Na Yeh Ke Bulate Hai, Mehmaan Banate Hai
Naseeb Apna Jagana,
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
 
Dil Jub Ke Ziyarat Ko Har Waqt Tadapta Hai,
Ek Aaisa Wasila Hai Rad Ho Nahi Sakta Hai
GAZI (ASWS)   Ke Wasile Se Kya Kutch Nahi Milta Hai
Alam Jari Ka Uthana
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
IMAM E JAFAR E SADIQ (ASWS) Ne Hai Yeh Farmaya
Humari Jad Ki Ziyarat Ko Tark Na Karna…..2
Namak Se Rotiyan Khana
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
Tum Kaun Ho Rutbe Ko, Khud Apne Zara Samjho
SHABBIR (ASWS) Ke Naukar Ho Dar Dar Pe Nahi Bhatko
Dunia Se Kabhi Koi Umeed Nahi Rakho
Mile Na Koi Thikana
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
 
Dunia Pe Nahi Rona Yeh Ashk Bhi Neamat Hai
Ho Farsh E Aza Par To Jannat Ki Zamanat Hai
Aansun Yeh Azadaron ZEHRA (SAWS) Ki Amanat Hai
Liye Hue Yeh Khazana
 
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
Suno Main Tum Ko Bata Hun Karbala Kya Hai
Yeh Maria Hai, Yeh Nainawa hai, Yeh Karbala Hai
 
Yeh Karbala Hai…..3
 
Yeh Karbala Hai Jahan Lut Gaya RASOOL (SAWW) Ka Ghar
Phir Ek Baar Jalaya Gaya BATOOL (SAWS) Ka Ghar
Jahan HUSAIN (ASWS) The Pyase, Haan Karbala Woh Hai
Har Ek Simt The Lashe, Haan Karbala Woh  Hai
Gira Zameen Pe AKBAR (ASWS) , Haan Karbala Who Hai
Tadap Gaya Jahan ASGHAR (ASWS) Haan Karbala Woh  Hai
Jahan Pe Hogaya Tukde Hai QASIM (ASWS) E Mazloom
Sitam Ki Had  Abhi Tumko Kahan Hui Maloom
Yahan Pe Teer Chale, Yahan Pe Bazu Kate,
 Yahan Pe Khaime Jale, Yahan Lute Parde
Badan Hue Subhi Paamal Aaiye Naizon Pe Sar
Na Apne Bhai Ko Ro Paaiye , Ek Bahan Muztar
 
Palti Hai Bahan Jis Dum Zinda Se Riha Ho Kar
Chehlum Ki Hui Majlis, SHABBIR (ASWS) Ki Turbat Par
Haan Sunnate ZAINAB (ASWS) Yeh Farsh E Gam E SARWAR (ASWS)
Aza Ka Farsh Bichana,
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
Dunia Se Mile Har Dam Gham Uske Gharane Ko
Deta Hai Khushi Lekin Woh Sare Zamane Ko
Dar Us Se Nahi Bhehtar Gham Apne Bhulane Ko
Ghamon Ko Apne Bhulana ….
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
 
Khushion Ka Mana Bhi Fitrat Ka Takaza Hai
SUGHRA (SAWS) Ne Magar Kaise Khushion Ko Manaya Hai
SUGHRA (SAWS) Ko Jo Kunbe Ka Pursa Tumhe Dena Hai
Ek Eid Aaise Manana
 
Karbala Jaana  …..4….. Suno Tum Karbala Jaana…..
 
Salman Ko Mesam Ko Gham Uska Rulata Hai
Ek Aasi Yatima Hai Jo Shaam Mein Tanha Hai
Taskeen E Dil E SARWAR (ASWS)
Shehzadi Ka Nauha Hai
Gham E SAKINA (ASWS) Sunana

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *