Haey Jabir
Jabir Bin Abdullah…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
Tu Dekh Nahi Paata Jabir
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
Theen Binte Ali Bazaaron Main, Theen Binte Ali Bazaaron Main…
Be Maqna o Be Parda Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
1.Jabir Ye Zameene Karbobala, Zahra Ka Yahan Gulshan Bikhra
Jis Jaa Pe Khare Ho Tum Jabir, Ghoray Se Yaheen Abbas Gira
Pyaasi Thi Bhateeji Khaime Main, Pyaasi Thi Bhateeji Khaime Main…
Be Baazu Hua Saqqa Jabir…Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
2.Athaara Baras Ka Bhai Mera, Seene Main Lagi Naize Ki Anni
Jabir Ye Sunoge Kis Tarha, Shabbir Ki Bhi Beenayi Gayi
Bus Ek Qadam Hi Chalte They, Bus Ek Qadam Hi Chalte They…
Girte They Mere Maula Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
3.Akbar Asghar Qasim Na Rahe, They Aun O Muhammad Ke Laashe
Is Par Bhi Ruki Na Jor O Jafa, Sabke Laashe Pamaal Huay
Shabbir Pe Chalta Tha Khanjar, Shabbir Pe Chalta Tha Khanjar…
Zainab Thi Sarre Khaima Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
4.Phir Shaam e Ghareeban Aapohonchi, Khaimon Ko Jalaya Aada Ne
Phuppiyon Ki Ridaaon Ko Meri, Naizon Se Utaara Aada Ne
Jalta Tha Sakina Ka Kurta, Jalta Tha Sakina Ka Kurta…
Asghar Ka Kaheen Jhoola Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
5.Aaghaaz e Imamat Tha Mera, Taufe Main Milay Zanjeer O Rasan
Poshak Yateemi Ki Pehene, Zakhmon Se Bhara Tha Mera Badan
Gardan Ka Lahu Pairon Se Baha, Gardan Ka Lahu Pairon Se Baha…
Ye Wakht Bhi Tha Aaya Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
6.Bazaar Ka Haal Suno Jabir, Pathar They Kabhi Sholay They Kabhi
Ummat Thi Tamaashayi Saari, Aur Aale Muhammad They Qaidi
Aur Habshi Ghulaamon Ki Tarha, Aur Habshi Ghulaamon Ki Tarha…
Bazaaron Main Khencha Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
7.Bazaar Hua Jab Khatm To Phir, Darbaar Qayamat Laaya Tha
Darbaari Sharaabi Majme Main, Zainab Ko Pukaara Jaata Tha
Paighaam e Hussaini Ki Khaatir, Paighaam e Hussaini Ki Khaatir…
Jaise Vo Raheen Zinda Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
8.Hasrat Thi Rihaayi Ki Jisko, Zindaan Se Riha Vo Honasaki
Darti Thi Andhere Se Bachi, Turbat Bhi Andhere Main Hi Banni
Zindaan Main Sakina Ka Haaye, Zindaan Main Sakina Ka Haaye…
Haathon Pe Tha Jab Laasha Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
9.“SALMAN” Karega Kaisay Bayaan, “MESUM” Jo Mere Maula Ne Kaha
Beenayi Meri Rukhsat Na Hui, Aankhon Se Magar Khoon Itna Bahaa
Aankhon Ke Lahu Se Surkh Hua, Aankhon Ke Lahu Se Surkh Hua…
Tha Shaam Ka Sab Rasta Jabir… Tu Dekh Nahi Paata Jabir…
Acha Hai Teri Beenayi Nahin Tu Dekh Nahi Paata Jabir
Tu Dekh Nahi Paata Jabir
Tu Dekh Nahi Paata Jabir
Tu Dekh Nahi Paata Jabir
Comment