Khatm ho gya khatm ho
gya Ek din mai sab hussain ka ghar khatm ho gya
1) ran mai hassan ke laal ko paamaal kardia
Iss gham ne ek maa ka bura haal kar dia Rehwar ki
sumo mai pisar khatm ho gya
2) ek lassh ane wali hai khud ko sambhalna
Kis ke liyea sajaye ho chota sa paalna Bano
tumhara noor e nazr khatm ho gya
3) barchi ki zad se seena e akbar na bach saka Afsoos shabhi e payambar
na bachsaka Laila teri dua ka asr khatm ho gya
4) zainab ke dil pa kohe masayab gira diyea
Maqtal mai do charagh ajal ne bujha diyea
Ek maa ki godh lut gye ghar khatm ho gya
5) ye roushni hai shaam e gariba qaraar ki Pehchan
ab toh dekh ke surat sawar ki Zainab gubar e raah guzar khatm ho gya
6) ye keh ke ashk ankho se sarwar ki beh gya Abbas
jate jate hame bhai keh gye Ab shikwa e khameeda kamar khatm ho gya
7) laashey pe bekasi hai shahe mashraqin ke Tan par
libas tak bhe na chora hussain ke Aye karbala
shahoor e bashar kham ho gya
8)wo gham tha umr kat gye ranj o malal mai Baba
ko itna roye hain chaleeis (40) saal mai Abid ka sara khoon e jigar khatm ho gya
9) maqbooliyat ko amir o akhtar ye kam nahi Wo
konsi hai ankh jo majlis mai num nahi
Nohey mai kaise keh dain asar khatm ho gya
Comment