HUSAIN (ASWS) , HUSAIN (ASWS) …..3
Ya ZEHRA (SAWS), Ya HAIDER (ASWS)
Shukria FATEMA ZEHRA (SAWS) , Shukria HAIDER E QARRAR (ASWS)
Aap Ne Mujhko Banaya, Apne Bete Ka Azadar
Mam Misli, Mai Azadar E HUSAIN (ASWS)
Risalat E Man NABVI (SAWW)
Wilayat E Man ALAVI (ASWS)
Ismat E Man FATEMI (SAWS)
Sakhawat E Man HASANI (ASWS)
Izzat E Man HUSAINAY (ASWS)
Gairat E Man ABBASAY (ASWS)
Yeh Jo Sharaf Mujhko Mila, Aur Kishe Rab Ne Diya
Goondha Gaya Mera Khameer, Usme Mili Khaak E Shifa
Unse Muje Hai Khalk Kiya
Aab E Haqa , Khaak E Shifa, Zohad O Sakha, Rab Ki Aata
Khalq Mujhe Rab Ne Kiya, Sirf Moharram Ki Liye
Aankh Hai Rone Ke Liye, Hath Hai Matam Ke Liye
Daulat E Man Kya Iske Siva
Farsh E Aza, Farsh E Wila, Ashk E Aza, Karbobala
Seena Hai Kaaba E Aza, Kaabe Ka Maulood ALI (ASWS)
Rab Ne Jo Meesakh Liya, Dil Mein Tha Maujood ALI (ASWS)
Aur Karam Mujh Par Yeh Hua
Dil Jo Diya , Us Mein Rakha, Ishq E KHUDA (SWT), SHEH(ASWS) Ki Aza
Phehle Wahan Wird Kiya, Sallu Alai Hai Ya HUSAIN (ASWS)
Ab Yeh Wazifa Hai Mera Sallu Alai Hai Ya HUSAIN (ASWS)
Kaam Hai Yeh Dunia Mein Mera
Nauha Likha, Nauha Padha, Nauha Suna, Khehta Raha
Ishq E ALI (ASWS) Mujhko Mila, Aur Gham E Karbobala
Jub Bhi Uthe Mere Kadam, Pohucha Shar E Farsh E Aza
Mai Bhi Koi Yadon Mein Raha
Tauk E Jafa, Mein Tha Gala, Khehta Raha , ZAINUL EBA (ASWS)
Asr Ka Hangam E Sitam, Bhool Na Paunga Kabhi
Ret Ke Teele Pe Khadi, Ek Bahan Roti Rahi
Dekhi Nahi Phir Aaisi Jafa
Khushk Gala, Katta Raha, Khoon Baha , Khehta Hua
Baad E SHAH E KARBOBALA (ASWS), AHLE HARAM (SAWS) Kaidi Bane
Shaam Talak Aaise Gaiye, Ek Rasan Bara Gale
BINTE ALI (ASWS) Thi Mhehve Buka
Lhehje Mein Tha, Sher E Khuda , Mhehve Buka, Khutba Diya
Hoti Hai MAULA (ASWS) Ki Ata, Likhta Hai Mazhar Ka Kalam
Mujh Pe Bhi Irfan E Aza, Hai Yeh Shah E Deen Ka Karam
Nade Ali Jo Mujhko Mila
Shukr E Khuda, Khoon Mera, Meri Tarha Khehne Laga
Comment