ISHQ-E-ALI-O-ZEHRA as HUSSAIN as

Ya HUSAIN (ASWS) Ya HUSAIN, Ishq E ALI (ASWS) O ZEHRA (ASWS) HUSAIN (ASWS)…..4
 
Arsh E Bari Ho Jiska Musalla, Sajda Jise Karta Ho Qibla
Jiski Sukunat Sehn E Kaba, Jiska Amama Gumbad E Khizra
Jis Se Hai….. Aabru, Deen E KHUDA (SWT) Ki Woh HUSAIN (ASWS)
Haidri….. Zeb O Zain, FATEMA ZEHRA (SA) Ka Hai Chain
 
Shaan E Qayadat Rooh E Imamat, Jis Ki Mawaddat Ajr E Risalat
Bar Sar E Naiza Husn E Tilawat, Sabr Hai Jaisa Waisi Sajat
Aai Shah E …..mashraqain, Aai Dil O Jaan E Karbala
Aap Hi …..Ipteda, Aap Hi Ishq Ki Inteha
 
Chehra Tera Wan Najm Ki Surat, Gesu Tere Wallail Ki Aayat
Badr E Tamami Qad Aur Kamat, Aanknon Ki Hai Wan Noor Alamat
Qalb E Qur….Aan Ke ,Noor Mein Baham Hai HUSAIN (ASWS)
Hussun Ek….. Lafz Hai, Uska Mujassam Hai HUSAIN (ASWS)
 
Hur Se Dilawar Kya The Kya Hai, Rahib Fitrus Tujhpe Fida Hai
Jitne Shaheed E Karbobala Hai, Teri Ata Pe Mehwe Sana Hai
Sura E….. Rehman Ki Poochiye Kya Tafseer Hai
Khud Kahe…..Ga Khuda (SWT), Bus Woh Mera SHABBIR (ASWS) Hai
 
Karbobala Ab Hum Ko Bulaie, Farsh E Zamee Par Arsh Dikhaie
Khaak E Shifa Dastar Banaie, Rauze Pe Tere Sar Ko Jhukaie
Karbala….. Naam Hai, Ishq Ki Us Meraj Ka,
Paa Sake….. Koshishe, Kar Ke Bhi Na Jise Ambiyan
 
Kaisi Sahar Aashoor Ki Aaie, Kaisi Sitam Ki Aandhi Chai
Baqi Rahe Na Bete Bhai, Roti Rahi Tujhpe Tanhaie
Ran Ko Jo….. Bhi Gaya, Tujhpe Fida Hota Raha
Ro Rahi…. Hai Aaj Bhi, Gam Me Tumhare Karbala
 
Fakhre Gam E Salman O Raza Hai, Hum Ko Maiyasar Farsh E Aza Hai
FATEMA ZEHRA (SA) Ki Yeh Ata Hai, Lab Pe Humare Jo Nauha Hai
Badsha…..Hi Se Bad, Kar Hai Hamari Naukri,
Dhadkane….. Kalb Hai, Naam E HUSAIN Ibne Ali (ASWS)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *