Ya Fatema Zahra..(7)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra
Chand moharram ka roya aur hum
jab aaya moharram, aur aankh hui nam
ye madar e hasnain se, karte hai iltejaa
saare azadaar, saare azadaar
ya bint e nabi fatima tashreef le aao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
1. Ghar apna azakhana e shabbir banaya
matam ke liye farsh e azaa ghar mein bichaya
Ya Fatema Zehra tumhe purse ko bulaya..(2)
saqqa e sakina ka alam ham ne sajaya
tum aake azakhane ki tauqeer badhao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
Ya binte nabi…
2. Jo aapne paye hai sare karbobala ghum
hum ehle azaa laye hai un zakhmo ka marham
ye sozo salam aaho buka marsiya matam..(2)
barsaenge aankho se abhi ashk e azaa hum
aye bibi inhe zeenat e rumaal banao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
Ya binte nabi..
3. Ek roz mein ujda hai jo zainab ka bhara ghar
us ghar ke azadaar hai sab farsh e azaa par
peetenge azadaar kabhi seena kabhi sar..(2)
thoda to sukoo payega faryaad ko sunkar
hamraah agar sayyed e sajjad ko lao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
Ya binte nabi..
4. Hum shakl e payambar ka hai besheer ka matam
laila ki buka banu e dilgeer ka matam
behno mein bapa chadar e tatheer ka matam..(2)
sajjad ke zakhmo ka hai zanjeer ka matam
abbas ko aur zainab e muztar ko bulao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
Ya binte nabi..
5. Barpa hai yaha’n qasim o abbas ka matam
hai dukhtar e shabbir ke ehsaas ka matam
sukhe hue kuzo’n ka kabhi pyaas ka matam..(2)
jo toot gayi dasht mein us aas ka matam
sharbat pe alamdaar ki ab nazr dilao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
Ya binte nabi..
6. Aye bibi zara shor suno aaho buka ka
dil tukde hua jaata hai har ehle azaa ka
zakir ne kiya zikr jo bazaar e jafa ka..(2)
kya haal hai pucho to zara zainul ebaa ka
bazaar ka hai zikr to baqir ko bhi lao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
Ya binte nabi..
7. Begoro kafan sayyed e zeeshan ka pursa
bazaar ka pursa hai ye zindaan ka pursa
sadaat ke bikhre hue samaan ka pursa..(2)
manzoor karo mazhar o irfan ka pursa
mil jaye sanad nauhe pe gar ashk bahao
baithe hai azadaar azakhane mein aao, azakhane mein aao
Ya binte nabi..
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra
Comment