Na jao.. na jao
Haaye..
Qafla jab ke rawana tha sue karbobala
aake abbas se kehne lagi rokar sughra
chacha jaan aapki baat mere baba nahi talenge
aap baba ko manalenge chacha jaan
le chaliye mujhe karbobala saath
chacha jaan, le chaliye mujhe karbobala saath
Maula abbas ne jakar ye shahe dee’n se kaha
bibi zidd karti hai le chaliye use karbobala..(2)
Hussain ya hussain…
Hussain bole..
Aye mere bhai alamdaar
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbbas, abbas..(2)
1. Hum jaha’n jaenge mahaul sharabi hoga
sar chupane ke liye hogi mayassar na rida
sabr karna shahzadi
ek sabab hai aur magar
tum shabih e fatima ho
mai kaise tumhe le jau karbala
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbbas, abbas..(2)
2. Door dariya se mere khaime lagenge beta
aur haftum se sabhi pyaase rahenge beta
sabr karna shahzadi
honge haram bhi khaak basar
tum shabih e fatima ho
mai kaise tumhe le jau karbala
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbbas, abbas..(2)
3. Subh e ashoor ke aasar jo honge muztar
khoon royenge sabhi sunke azaan e akbar
sabr karna shahzadi
wo hai shabih e payghambar
tum shabih e fatima ho
mai kaise tumhe le jau karbala
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbbas, abbas..(2)
4. Dekh sakti hi nahi aisa wo manzar hoga
halq par mere rawa’n shimr ka khanjar honga
sabr karna shahzadi
hongi waha’n pe khud madar
tum shabih e fatima ho
mai kaise tumhe le jau karbala
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbbas, abbas..(2)
5. Beta phir sham e ghareeba’n mein chinegi chadar
khaime jal jaenge phir hogi qayamat ki sahar
sabr karna shahzadi
shaam ki janib hoga safar
tum shabih e fatima ho
mai kaise tumhe le jau karbala
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbbas, abbas..(2)
6. Shaam ki galiyo’n se, bazaro se, guzrenge haram
pehle darbaar mein phir qaid mein jayenge haram
sabr karna shahzadi
qaidi rahenge tashna jigar
tum shabih e fatima ho
mai kaise tumhe le jau karbala
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbas, abbbas..(2)
7. Ek ek lafz hai mazhar tera irfan e azaa
kehke ye rone lage sayyad e zeeshan e azaa
sabr karna shahzadi
tum se rahe aabad ye ghar
tum shabih e fatima ho
mai kaise tumhe le jau karbala
Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho
abbas, abbbas, abbas..(3)
Comment