Ali Ali Ali
Sarkar ya Ali
Teri sarkar ya Ali
Chaak kar parda-e-ghaibat
to hum dekh len
ya Ali tere waris
ka bharam dekh len
jiske aane se badal jaayga ye jahaan
inheen aankhon se wohi
naqshe qadam dekh to Len
Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar
Hai dua lab pe ye har bar
YA Ali apki sarkar
Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar
Ya Ali hum tere waris ka bharam dekh to Len
Uske haathon main bhi ghazi ka alam dekh to Len
Inheen aankhon se wohi naqshe qadam dekh to len
Ye dua pihr se ho ik bar
Ya Ali apki sarkar
Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar
Aisi sarkar jahan charon taraf piyar mile
Aisi sarkar jahan zulm se takrar mile
Aisi sarkar jahan sirf azadar milen
Is tasawur ka hai izhaar
Ya Ali apki sarkar
Chahte hain ye azadar
ya Ali apki sarkar
Aisa mahool jahan maut ke bazar na Hon
Gali koochon main jahan khuafke aasar na Hon
Aisa mahool jahan log sitamgaar na Hon
In umeedon ka hai shahkar
Ya Ali apki sarkar
Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar
Tera waris jo banade wohi kanoon chale
Jo ho insaaf ke taalib unhen insaaf mile
Qomi parcham ki jaga parcham e Abbas mile
In khayalat ki memaar
YA Ali apki sarkar
Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar
Gham sehte sehte thak Gaye
Qarar chahiye
Ab zulm ke sar par
Teri talwaar chahiye
Is khuaf ke mahol se
Tang aa chuke hain hum
Aye waris-e-Haider Teri sarkar chahiye
Sarkar chahiye Teri sarkar chahiye
Aye waris-e-Haider teri sarkar chahiye
Waris-e-taighe Ali a.s
Ab zaroorat hai Teri
Leke ab izn-e-khuda
Pardaye ghaib utha
Hai muhibon ki sada
Ab hukomat ho teri
Sarkar chahiye Teri sarkar chahiye
aye waris-e-Haider teri sarkar chahiye
Badal tera duldul hai
Masheeat teri tameel
Kaaba tera mimber hai
Sahaif teri tarteel
Esa tera Salman hai
Qambar tera jibreel
Haajib tera ilyaas
Sipahi tera hizqeel
Han Mehdi-e-haq dehr main
kehte hain usi ko
Haq cheen ke zalim se
Jo de bint-e-nabi ko
Sarkar chahiye Teri sarkar chahiye
aye waris-e-Haider teri sarkar chahiye
Wo waqt tu hi laayga
Qibla kabhi ho kaaba
Kabhi roza-e-Hussain a.s
Hussain a.s
Tapoosh-e-Murtaza ke ewaz
Hum na Len kabhi
Humko agr hukoomat-e-Arzo saman mile
Minnat karen malang to na jaayen
Bahisht main rehne ke wasite
Jo humen karbala mile
Jahan ghar bar luta
Khanjar-e-zulm chala
Jahan paamal hua
Usi maqtal main humen
kaash mill jaye jagga
Ho hamari bhi lehad bar sare karbo bala
Hai ye mazhar KI sada
mango farhan dua
raat din sunte rahen
waa Hussaina ki sada
Comment