Farhan Ali Waris | Qatal Alamdar Hogaya Hai | Noha | 2012

wawaila sad wawaila

wawaila sad wawaila

kehti thi ye zainabe laachaar

qatl alamdaar ho gaya hai

sar se  mere  jaayegi dastaar

qatl alamdaar ho gaya hai

bain karo bibiyon haay alamdaare shah

zere alam ye kaho haay alamdaare shah

bhaayi ke labon peh ye buka hai

zindagi ab ho gayi dushwaar

qatl alamdaar ho gaya hai

haathon me kuze liye bethi hai ek ghamzadah

koyi bataade  use kaisa sitam ho gaya

ab tu yehi bain kar haay alamdaare shah

aayaa nahin laut kar haay alamdaare shah

mashk pe qurbaan ho gaya hai

baali sakina ho khabardaar

qatl alamdaar ho gaya hai

bole  shahe karbala furqate abbas me

sab karo majlis bapa furqate abbas me

mil ke  parho marsiya haay alamdaare shah

koyi nahin aasraa haay alamdaare shah

chaaron taraf fauje ashqiya hai

koyi nahin saayae deewaar

qatl alamdaar ho gaya hai

aankhon se  ye alqamah jaari rahegi sada

tujh ko mere  baawafaa yaad rakhegi wafa

lab pe rahenge ye bain haay alamdaare shah

rota rahega hussain haay alamdaare shah

jeene se bezaar hochuka hai

qatl karen mujh ko sitamgaar

qatl alamdaar ho gaya hai

noha hai kulsum ka haay shahe karbala

ho gaya mujh ko yaqeen jaayegi sar se rida

dil se uthi ye sada haay alamdaare shah

chhor ke mujh ko gaya haay alamdaare shah

ab to har ek saans ek saza hai

kaise  jiye ab ye dilafgaar

qatl alamdaar ho gaya hai

aur bhi to ab sitam dhaayenge  ye ashqiya

dashte bala me mera bhaayi akela huwa

mujh ko yaqeen ho gaya haay alamdaare shah

jaayegi meri rida haay alamdaare shah

ehle haram ki yehi sada hai

ho gaye aazaad sitamgaar

qatl alamdaar ho gaya hai

mazhar o farhan ye gham hai qayaamat ka gham

zainab o shabbir ka haal karun kya raqam

lab pe yehi thi buka haay alamdaare shah

daage judaayi diya haay alamdaare shah

tu nahin to zindagi me kiya hai

koyi nahin dasht me ghamkhwaar

qatl alamdaar ho gaya hai

wawaila sad wawaila

wawaila sad wawaila

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *