Farhan Ali Waris | Maan Dekh Mene | 2009

Haaye, Ghore se jab zameen par

Aye shahe zaman

Dekha ke ban me fatema zehra he mojizan

Are balon se jharti he zamee(n) qatlagah ki

Madar ko dekha aur ye maula ne aah ki

(Maa) x2 dekh meine (sab luta diya) x3

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

1.     Sehra ko apne khun se meine basa diya

Jo karsaka na koi woh karke dikha diya

Lashon se meine dashte bayabaa(n) sajadiya

Bachpan mein who jo wada kiya tha nibhadiya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

2.     Khaak aur khoo(n) mein jalta badan dekhle mera

Barbaad ho chuka he chaman dekhle mera

Kaante pare huwe hein dahan dekhle mera

Dil muztarib he aisa ke jaise bhujadiya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

3.     Who dekho hum shabihe payambar ki laash ko

Tukre pare hein qasime muztar ke dekhlo

Asghar ki qabr dashte bayabaa(n) mein dekhlo

Zainab ke laadlo(n) ko bhi ban me suladiya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

4.     Ghore se jab zameen pe aya jawaan pisar

Mein ban me aya thokre khata bachashme tar

Barchi ka phal jo khencha to tukre huwa jigar

Is gham ne jeeteji mujhe lasha bana diya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

5.     Aisa huwa shaheed who qasim sa nek naam

Tukron mein bat ke rehgaya us ka badan tamam

Qasim ki maa ke azm ko meine kiya salam

Marne ke waste use dulha banadiya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

6.     Teere sitam tha ek magar zakhmi kargaya

Asghar ka halq maa ka kaleja jigar mera

Asghar ko leke khaime me wapis na ja saka

Is karbala ki god mein usko chhupa diya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

7.     Qurban mujhpe hogaye zainab ke ladle

Meri nazar mein yeh bhi to Akbar se kam ne the

Laashe utha ke dono ke laaya jo dasht se

Zainab ki khamshi ne ye nauha suna diya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

8.     Amma tere hussain ka woh pehla jaanisaar

Jo fitratan bhi hur tha  huwa akse aashkar

Ghazi ki tarha hur ke liye mein hun sogwaar

Hur jaise bawafaa ko bhi meine gawadiya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

9.     Amma gayi he furqate abbas tor kar

Zainab ki aas pyason ka dil aur meri kamar

Lipti alam se baali Sakina he nawhagar

Bhai ke gham ne mujhko yahi marsiya diya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

10.                        Apne pisar ke khu(n) se wuzu kar chukka husain

Laasho(n) se karbala ki zamee(n) bhar chukka husain

Subha se kitni baar yaha(n) marchuka hussain

Aaghosh mein sulade ghamo(n) ne thaka diya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

11.                        Kya “mazhar abidi” likhe “farhan” kya pare

He kisme itni taap ke maqtal bayan kare

Awaaz ab bhi ati he dashte kitaal se

Is Karbala ko arshe mualla bana diya

Maa dekh meine sab luta diya

Maa dekh meine (sab luta diya)  x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *