Farhan Ali Waris | Kesay Abbas Mera Zeen Say |2019 | 1440

Baad E Karbala Eid Aai Hai Ab Kiya Hoga Pehli Eid Hai
Jab Eid Aai Sab Pareshan Thy Ummul Baneen s.a Kheraan Thi
Apnay Ghar Mein K Kiya Hoga
Aik Baar Zainab s.a Ne Kaha Syed E Sajjad a.s Amaari Mangao
 
Siyah Chaddar Zainab s.a Ne Pehni
Amaari Pe Siyaah Parda Para
Naqaa Baithaya Gaya
Zainab s.a Amaari Mein Beithi
Aur Sarbaan Se Kaha
Abbas a.s K Ghar Chalo
 
Sariyan Bibiyaan Pichy Pichy Aik Baar Amaari Se
Zainab s.a Utri’n Aur Utar Kar Parda Hata Kar
Sehan e Khana Mein Ayi’n Ab Jo Dekha
Ummul Baneen s.a Sar K Baal Bikharaye Door Kar Zainab s.a
 
Zainab s.a Se Lipat Gai Lipat Kar Sirf Itna Kaha
Shahzadi Itna Majma Tha Roza E Rasool s.a.w.w Par K
Mein Ap Se Aik Baat Na Poch Saki
Acha Howa K Ap Aa Gai Tu Ab Mein
Ap Se Aik Baat Pochna Chahti Hoon
 
Kaha Madar E Garami Pochiye Kia Pochna Hai
Kaha Zainab s.a Yeh Batao K Agar Koi Zakhmi Goray Par
Zakhmi Ho K Girta Hai
 
Tu Wo Apne Hathon K Bal Girta Hai
Bas Yeh Bata Dijiye Jab Mera
Abbas a.s Ghoray Se Girra Tu Kia Howa
Aik Baar Zainab s.a Ne Pukara Abbas a.s
Kaha Ummul Baneen s.a Abbas a.s Sar K Bal Gira
Sar Pash Pash Ho Gaya
 
Ya Abbas a.s Ya Abbas a.s
Aik Din Madar E Abbas a.s Ne Zainab s.a Se Kaha
Aik Sawal Ap Se Shahzadi Mein Kar Sakti Hoon Kiya
Rooti Rehti Hoon Bohat Jab Se Yeh Ahwaal Suna
Us K Bazu Thay Juda Aur Sar Bhi Zakhmi Tha
 
Zainab s.a Yeh Bata
Kesy Abbas a.s Mera Zeen Se Zameen Par Aya
Haye Abbas a.s Haye Abbas a.s
 
 
Aur Qaida Yeh Hai Bulandi Se Jo Girta Hai Koi
Apne Hathon Se Wo Karta Hai Wo Hifazat Apni
Us Ghari Hath Tu Ghazi a.s K Meray Thy Hi Nahi
Bas Yehi Soch K Iss Maa Ka Jigar Pathnay Laga
 
Zainab s.a Yeh Bata
Kesy Abbas a.s Mera Zeen Se Zameen Par Aya
Haye Abbas a.s Haye Abbas a.s
 
 
Aray Gurz K Lagnay Se Sar Se Bhi Lahoo Behta Tha
Teer Peyvast Thy Ankhon Mein Sitam Kaisa Tha
Apni Ghurbat Pe Wo Bay Dast Jaree Rota Tha
Jism Sara Tha Mere Laal Ka Teeron Se Bara
 
Zainab s.a Yeh Bata
Kesy Abbas a.s Mera Zeen Se Zameen Par Aya
Haye Abbas a.s Haye Abbas a.s
 
 
Arey Sun K Yeh Baat Mera Qalb O Jigar Zakhmi Tha
Khoon Behta Tha Bohat Mera Pisar Zakhmi Tha
Mujhko Abid a.s Ne Bataya Hai K Sar Zakhmi Tha
Sans Kis Tarah Se Seenay Mein Teharta Hoga
 
Zainab s.a Yeh Bata
Kesy Abbas a.s Mera Zeen Se Zameen Par Aya
Haye Abbas a.s Haye Abbas a.s
 
 
Arey Maa Hoon Main Janti Hoon Waqt Woh Kaisa Hoga
Khoon Pani Ki Tarah Zakhmon Se Behta Hoga
Phir Bhi Dil Mashk E Sakina s.a Mein Dharakta Hoga
Mar Gaya Hoga Ussi Waqt Jo Mashkiza Chidda
 
Zainab s.a Yeh Bata
Kesy Abbas a.s Mera Zeen Se Zameen Par Aya
Haye Abbas a.s Haye Abbas a.s
 
 
Arey Kaise Farhan Parhy Kaise Likhy Zill E Raza
Apna Muh Peet K Ronay Lagi Bint E Zehra s.a
Us Ghari Ahl E Haram Mein Howa Kuhraam Bapa
Jis Ghari Madar E Abbas a.s Ne Roo Kar Pocha
 
Zainab s.a Yeh Bata
Kaisay Abbas a.s Mera Zeen Se Zameen Par Aya
Haye Abbas a.s Haye Abbas a.s

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *