Haaye haaye haaye haaye
Barsa falak se khoon larazne lagi zameen
aandhi siyaah dashte bayabaan me chali
yeh waqt bhi qayamate kubra se kam nahi
jalti zameen pe aakhri sajde me hai jabeen
baali pe maa hussain ki aur pusht pe laeen
kehti thi maa theher zara shimr theher jaa
do bund mere bacche ko pani toh pilaa de
1. Sunkar duhai fatahe badro honain se
yeh rashk gunjta hai mere shoro shain se
akbar ko katl kar ke bhi baithe na chain se
kya dushmani hai tumko mere dilke chain se
kya bugz tumko ho gaya mere hussain se
2. Subh e dahan se laash uthata raha yaha
roya hai is ghareeb ki ghurbat pe aasmaa
bacche shaheed ho gaye maare gaye jawaa
haatho pe iske qatl hua ek bezabaa
ab iske khoo ke pyase hue khanjaro sina
3. Aaya jo katl gaah me yeh zulm ka aseer
pursaane haal tha na koi aur na dastgeer
patthar kisine maare kisine sina o teer
naiza kisine maara chalaaye kisine teer
yeh zulm dekha rone laga khuld ka ameer
4. Ghash khake jo ghode pe jhuka mera dilafgaar
khun rone laga aur sare mazlum pe talwaar
sar thaamke haatho se jo seena hua ek baar
barchi kisi laeen ke seene se hui waar
tar ho gaya lahu se badan dil hua figaar
5. Teeron ki nazr chand sa seena jo ho gaya
in zalimon ne seene ko teero se bhar dia
zeen se zami pe aane laga jab pisar mera
aaya nai zameen pe teero pe ruk gaya
is zulm pe bhi reham na aaya tujhe zara
6. Ae sang dil khuda ka payambar ka khauf kar
kassab bhi zabiho ko zibha se thehar kar
itna toh pani dete hai ho jaae halq tar
zakhmon se chur chur hai pyaasa mera pisar
khanjar chalega kis tarah pyaase ke halq par
7. Zainab hai ek ret ke tile pe nauha gar
manzar yeh dekhti hai sambhale hue jigar
ankho me ashk lab pe buka aur barehna sar
mar jaaegi woh khwaahare mazlum dekhkar
tan se juda na kijiyo us waqt sheh ka sar
8. Tadpe zamee pe khaak udate hue haider
aaye khadija aur payambar bhi nauhagar
saidaaniyon me bain dare khaima pe dukhtar
nazdeek tha woh waqt ke kat jaaye sheh ka sar
zahra ne gala rakh diya bete ke gale par
9. Mazhar kaha se mai woh takate bayaan
mai likh saku shahadate mazloom ab yaha
hamraah mere rote hai yeh saaton aasmaan
farhan nahi nahi yeh kalam bhi hai nauhagaa
bete ko qatl hote hue dekhti thi maa
Haaye haaye haaye haaye haaye..
Comment