Farhan Ali Waris | Bhai Hussain Kia Yeh | 2017

 

 

Haye…..
 
 
Lash Par Mazloom Bhai Ki Jub Aaiye Thi Bahan
 
Aankh Se Aansu Rawa The, Aur Tha Lab Par Sukhan
 
Ya HUSAIN (ASWS) ….4
 
 
 
Teeron Se Jika Sara Badan Pash Pash Hai…..2
 
Bhai HUSAIN (ASWS) Kya Yeh Tumhari Hi Lash Hai…..2
 
 
 
Amma Ne Jee Te Jee Jishe Rone Nahi Diya
 
Ranj O Alam Koi Bhi Uthane Nahi Diya
 
Had Hai Ke Dhoop Mein Bhi Nikal Ne Nahi Diya
 
Amma Ne Jis Ko Kata Bhi Chub Ne Nahi Diya
 
 
 
Teeron Se Jika Sara Badan Pash Pash Hai…..2
 
Bhai HUSAIN (ASWS) Kya Yeh Tumhari Hi Lash Hai…..2
 
 
 
Tan Par Jo Ek Libas Tha Woh Tar Tar Hai
 
Zakhmon Se Jism Hi Nahi Dil Bhi Figar Hai
 
Har Teer Tere Jism Ka Khud Sogh War Hai
 
Is Lash Par Gareeb Bahan Ki Pukar Hai
 
 
 
Teeron Se Jika Sara Badan Pash Pash Hai…..2
 
Bhai HUSAIN (ASWS) Kya Yeh Tumhari Hi Lash Hai…..2
 
 
 
Qurban Teri Lash Par Aaiye Jaan E SAIYADA (SAWS)
 
Afsos Teri Lash Par Sar Bhi Nahi Raha
 
Yeh Hal Tera Dekh Ke Karti Hun Mai Buka
 
Behti Hai Meri Aankh Se Ashkon Ki Alkama
 
 
 
Teeron Se Jika Sara Badan Pash Pash Hai…..2
 
Bhai HUSAIN (ASWS) Kya Yeh Tumhari Hi Lash Hai…..2
 
 
 
ABBAS (ASWS) Ko Bulaun Ya AKBAR (ASWS) Ko Du Sada
 
Tum Ne Uthaya Dasht Mein Lasha Har Ek Ka
 
Lasha Uthaun Main Tera Mazloom E Karbala
 
Lekin Gareeb  E Nainawa Mujhko Yeh Tu Bata
 
 
 
Teeron Se Jika Sara Badan Pash Pash Hai…..2
 
Bhai HUSAIN (ASWS) Kya Yeh Tumhari Hi Lash Hai…..2
 
 
 
Pala Tha Maan Ke Kya Tumhe Is Din Ke Waste
 
Makhtal Ki Garm Ret Par Tadponge Pyas Se
 
Be Rehm Log Le Gaye Sar Tan Se Kaat Ke
 
Phehchanu Kaise Lash Ko Tu Hi Bata Mujhe
 
 
 
Teeron Se Jika Sara Badan Pash Pash Hai…..2
 
Bhai HUSAIN (ASWS) Kya Yeh Tumhari Hi Lash Hai…..2
 
 
 
Farhan O Mazhar Abedi Kaise Kare Baiyan
 
Karbobal Ke Dasht Mein Lashon Ke Darmiyan
 
Is Be Kasi Pa Ro Padhi, Makhdooma E Jahan
 
Ki Lasha E HUSAIN (ASWS) Pe ZAINAB (SAWS) Ne Jub Fugan
 
 
 
Teeron Se Jika Sara Badan Pash Pash Hai…..2
 
Bhai HUSAIN (ASWS) Kya Yeh Tumhari Hi Lash Hai…..2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *