Yeh Waqt E Naza Kehty Thy Ro Ro Ky Murtaza
Aao Mery Qareeb Farzand E Baa Wafa
Main Kar Raha Hun Jo Yeh Wasiyat Na Bhoolna
Rakhna Khayal Zainab O Shabbir Ka Sada
Tasleem Ko Adab Sy Barhy Sar Jhuka Liya
Baba Sy Phir Yeh Hazrat E Abbas Ny Kaha
Ya Mola Ya Baba
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Hony Na Dun Ga Zainab O Sarwar Ko Ghamzada
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Saye Ki Tarha Sath Rahun Ga Hussain Ky
Rakhun Ga Main Aziz Inhen Apni Jaan Sy
Ly Lun Ga Apni Zaat Py Aye Gi Jo Balaa
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Khushiyon Sy Muskuraye Gi Beti Hussain Ki
Koi Na Gham Uthaye Gi Beti Hussain Ki
Mojood Jab Talak Hai Yeh Abbas E Bawafa
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Zainab Ky Sar Sy Cheen Ly Chadar Koi Shaqi
Mumkin Hi Nahi Hai Yeh Mery Hoty Huye Kabhi
Nad E Ali Banun Ga Paye Binte Fatima
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Yeh Mery Hath Salamat Hain Yeh Shah
Qaide Sitam Ki Baat Kuja Reesma Kuja
Koi Nazar Bhi In Ki Taraf Kar Na Paye Ga
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Kal Qissa Jab Dalair Ky Bazu Huye Qalam
Kehta Tha Yeh Hussain Ka Ghazi Bachashm E Namm
Baba Sy Kya Kiya Hua Wada Hua Wafa
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Shabbir Ny Jawab Mein Phir Ro Ky Yeh Kaha
Ta Umr Tum Ny Wada Nibhaya Hai Bawafa
Kanon Mein Ab Tumhary Yehi Goonjy Gi Sada
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Aal E Nabi Mein Hashmi Behnen Tha Gham Bapa
Lashon Sy Ay Hilal Tha Maqtal Saja Hua
Yeh Kehty Kehty Pasbaan Dariya Py So Gya
Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera
Jab Tak Main Zinda Hun Mola Wada Hai Yeh Mera Mola Wada Hai Yeh Mera
Comment