Farhan Ali Waris | Baba Main Sakina | Farsi | 2023 | بابا میں سکینہ | اردو – فارسی | پاکستانی

Aayi Baba
Mein Sakina
Meri Haalat Zara Dekho Baba
Baal Bikhre Hain Mere Pyaas Se Khushk Gala
Jal Gaye Khaime Sabhi Jala Gaya Mera Karta
Balian Chhin Gayin Kaanon Se Lahoo Behta Raha
Mere Rukhsar The Chhoote Shimar Ka Haath Bada Tha
Uss Ne Mara Jo Tamancha Huwa Zakhmi Mera Chehra
Kya Yatimon Pe Sitam Karta Hai Koi Aesa
Aap Ne Naam Mera Rakha Sakina Baba
Mujhe Koi Bhi Sakina Nahi Kehta Baba
Ab Mujhe Kehte Hain Sab Log Yateena Baba

Aap Ke Baad Barre Zakham Mile Hain Baba
Suno Din Raat Mere Kaise Kate Hain Baba
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

Jal Gaye Khaime Bhi Asbaab Bhi Sab Lout Liya
Jhoola Be Sheer Ka Sajjad Ka Bistar Bhi Jala
Shimar Ne Kaanon Se Ae Baba Gohar Khench Liye
Aag Daman Mein Lagi Khoon Bhara Hai Kurta
Mujh Ko Drron Se Tamanchon Se Hai Itna Mara
Pusht Zakhmi Hai Meri Zakhmi Hai Chehra Sara
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

[Persian]
Aamdm Ba To Biguyam Chi Hashidan Baba
Baad To Juz Gham O Juz Ranj Nadeedam Baba
Baba Man Ruqqia , Baba Mann Yateemam

Baba Jaan Mann Beh Suragh Beh Biyabaan Raftam
Dedamat Beesar O Bar Seenaye To Aftadam
Baz Ham Ta Ke Rawi Seenah To Khuaham Bard
Yakki Anguneh Mara Zad Keh Beh Khud Pecheedm
Dast Dar Muye Saram, Az To Judda Kard Mra
Ham Beh Shalq Zad Aan Dushman Bay-Dard Mra
Baba Man Ruqqia , Baba Mann Yateemam
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

[Urdu]
Dhoandne Aap Ko Mein Dast E Biyabaan Gayi
Aap Ki Khushbu Se Mein Aap Ko Pehchan Gayi
Aap Ke Seene Pe Kuchh Der Ko Neend Aayi Mujhe
Shimar Ne Aise Jagaya Ke Meri Jaan Gayi
Khench Kar Baal Mere Tum Se Choraya Baba
Jab Mein Roi To Mujhe Darra Lagaya Baba
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena
Baba Man Ruqqia , Baba Mann Yateemam

[Persian]
Dar Safar Zakhmi O Randeedeh Shud An Dukht Hazin
Baskeh AftadHam Az Pusht Shutar Rawi Zameen
Mein Baar Baar Oont Ki Pusht Se Neechay Giri
Har Kuja Dar Safar Az Pusht E Shutar Aftadam
Baba Jaan Naam To Ra Burdam O Faryaad Zadm
Baba Mann Baad E To Awarah Shudam, Dar Beh Darm
Pas Kujai Keh Bibini Keh Chah Aamad Beh Saram
Baba Man Ruqqia , Baba Mann Yateemam
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

[Urdu]
Raah Mein Aap Ne Kya Dekha Nahi Yeh Manzar
Moo Ke Bal Jab Mein Giri Nake Se Doran E Safar
Pusht Bhi Zakhmi Thi Chehra Bhi Huwa Phir Zakhmi
Mere Zakhamo Mein Chubhe Garam Zamee Ke Pathar
Aap Bhi Mujh Ko Nah Pehchanen Woh Haalat Thi Meri
Mein Wohi Beti Hon Jo Seene Pe Soti Thi Kabhi
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

Dam Mera Gutta Tha Jab Khichti Thi Har Baar Rasan
Lar Kharate The Qadam Chalne Nah Deti Thi Thakan
Mein Kabhi Panjoo Pe Chalti Thi Kabhi Kaanton Par
Paon Mein Chhale The Aur Chhaalon Mein Hoti Thi Chuban
Jeetay Jee Baat Yahi Baba Mujhe Maar Gayi
Aik Mujrim Ki Terhan Baba Mein Darbaar Gayi
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

Yeh Sitam Dekh Ke Ae Baba Mein Kiun Mar Nah Gayi
Aap Ke Sar Pe Chhari Maar Ke Hanstaa Tha Shaqi
Saat So (700) Kُrsi Nasheen Baithe The Khamosh Sabhi
Haye Sadat Ke Haq Mein Nahi Bola Koi
Bibiyon Ne Mujhe Halqe Mein Chhupaya Baba
Mujh Ko Zalim Ne Kanizee Mein Jo Manga Baba
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

Qaid Mein Mazhar O Farhan Sakina Ne Kaha
Sab Ko Zandan Mein Mujhe Zair E Zamee Qaid Kiya
Tha Wahan Itna Andhera Ke Mein Ghabrati Thi
Nah Phophi Sath Nah Amma Theen Nah Bhiya Mera
Aap Ka Sar Jo Mila Baba Mujhe Chain Mila
Ab Mile Ya Nah Mile Mujh Ko Rihayi Baba
Baba Mein Sakina, Baba Mein Yateena

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *