Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Yeh Karwan Hai Ahl E Aza Ka
Yeh Karwan Hai Karbobala Ka
Sar Py Alam Hai Shah E Wafa Ka
Yeh Silsila Hai Sabr O Riza Ka
Jab Tak Yeh Dam Ho
Maula Ka Gham Ho
Gham Yeh Na Kam Ho
Har Ankh Nam Ho
Mashk O Alam Ho Pasbaan
Chalta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Is Karwan Ka Hussain Rehbar
Shamil Hain Is Mein Sheh Ky Bahattar
Jinn O Malak Bhi Chaltay Hain Mil Kar
Shamil Hain Hum Bhi Adna Sy Nokar
Bazm E Aza Hai Raah E Wafa Hia
Sab Ki Sada Hai Sab Ki Dua Hai
Roshan Rahe Yeh Kehkashan
Chalta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Salam Tum Par Hussain Walon
Ay Azadaro Ay Gham Guzaaro
Ali O Zehra Ky Jaan Nisaro
Ishq E Nabi Ky Roshan Sitaro
Ay Pursa Daro Ay Soagwaro
Ghazi Ky Pyaro Sheh Ky Dulaaro
Tum Par Khuda Ho Meharbaan
Chalta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Hussain Maula Ka Qafila Hai
Majlis O Matam Ka Silsila Hai
Nabi Ky Ghar Ka Yeh Tazkira Hai
Hussainiyat Ka Hami Khuda Hai
Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah
Hum Sab Py Aaqa Daaman Tumhara
Hussainiyon Ka Sayebaan
Chalta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ka Gham Zinda Rahay Ga
Matam Zamana Karta Rahay Ga
Farsh E Aza To Bichta Rahay Ga
Hussaini Parcham Ooncha Rahay Ga
Yeh Azadari Yeh Pursa Dari
Ghar Ghar Hai Jari Giriya O Zari
Noha Kunaan Hai Do Jahaan
Chalta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Kya Shan Ho Gi Is Karwan Ki
Jab Hon Gay Shamil Imam E Mehdi
Sharf E Ziarat Ho Ga Hamen Bhi
Matam Bhi Ho Ga Majlis Bhi Ho Gi
Hum Den Gay Pursa Karbobala Ka
Har Bey Khata Ka Har Bey Rida Ka
Maula Bhi Hon Gay Darmiyan
Chalta Rahay Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Seenon Mein Gham Ho Sar Py Alam Ho
Barhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Yeh Karwan Barhta Rahe Yeh Karwan
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Comment