Mujhy Baba Ka Sir Lado | Shadman Raza | Nohay Lyrics | 2016

 

Mujhe baba ka sar laado
Bhaiyya sajjad..(5)
Ye meri aakhri shab hai,
sakina ne kaha bhaiyya
mujhe baba ka sar laa do

1. Sakhi ke laal ho ye akhri khwahish na radd karna
tumhare ghar ka shewa hai gharibo ki madad karna
sawali hai jale daman, ko phelaye hue dukhiya
mujhe baba ka sar laa do

2. Padar ke baad beti ka tamacho par guzara hai
bataungi unhe shimr e laee’n ne kaise maara hai
zara nazdeek se aakar wo mera dekhle chehra
mujhe baba ka sar laa do

3. Ajab halat mein dekha tha sare darbaar baba ko
nahi paani mayassar qaid khane mein sakina ko
mai apne aasuo’n se dhoungi mazloom ka chehra
mujhe baba ka sar laa do

4. Mai roi jab padar ko shimr ne badla liya tumse
qasam hai mujhko baba ki mera waada raha tumse
sakina ab na roegi na ab khaoge tum durra
mujhe baba ka sar laa do

5. Zuba’n hai khushk itni baat karna mujhpe bhari hai
tumhe maloom hai bhai sakina kab se pyaasi hai
magar karti nahi dukhiya taqaza tumse paani ka
mujhe baba ka sar laa do

6. Padar ka dekh kar chehra sadaa bedaar hoti thi
shab e ashoor tak unki ziyarat karke soti thi
zara dekho in aankho’n ne unhe kab se nahi dekha
mujhe baba ka sar laa do

7. Paresha’n ho agar koi tasalli dete jaate hai
suna hai marte dum apno se milne ko wo aate hai
hai mujhpe nazr ka alam chali mai chod kar duniya
mujhe baba ka sar laa do

8. Takallum sar jab aaya qaid khane mein qayamat thi
adhuri reh gayi baatein hui khamosh shehzadi
feza mein gunjta hai shadma’n ab tak yehi nauha
mujhe baba ka sar laa do

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *