Bus Ghazi (as) Hojaye Razi | Syed Irfan Haider | Mola Abbas (as) |NEW Muharram Noha | 2022 | 1444

Labbaik Ya Abbas

Sakhi Badshah Abbas Jiye Alama Wala
Mera Murshid Ghazi

Hijaab E Zainab E Kubara Salam
Salam Ya Ghazi

Babul Havaij Mere Ghazi Hoja Razi
Sun Le Meri Iltija

Har Matami Halka E Matam Main
Ye Soch Ke Khoon Bahata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi
Mera Ghazi Hojaye Razi

Ye Dar Hai Sakhi Abbas Ka Dar
Yahan Deep Wafa Ke Jalate Hain
Sar Apana Jhuka Le Gam Na Kar
Yahan Girate Log Sanbhalte Hain
Ye Vird Saja Le Hoton Par
Duniya Se Kyn Ghabrata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi
Mera Ghazi Hojaye Razi

Jo Tere Alam Par Aaye Ga
Wo Dil Ki Muraden Paye Ga
To Jis Pe Karam Kar De Ghazi
Wo Tujh Main Fana Ho Jaye Ga
Kashkol Tere Dewanon Ka
Ye Kahate Hi Bhar Jata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi
Mera Ghazi Hojaye Razi

Saqqa E Sakina Jane Ali
Ik Mashk Tere Parcham Se Bndhi
Kahati Hai Azadaron Se Yahi
Is Baat Pe Shak Karana Na Kabhi
Milata Hai Sakina Ka Sadqa
Usko Jo Ye Doharata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi
Mera Ghazi Hojaye Razi

Abbas Bulate Hain Jisko
Bas Karbobala Wo Jata Hai
Har Aik Shahide Karbobala
Khud Uske Gale Lag Jata Hai
Shabbir Ki Kabr Pe Jakar Jo
Ye Kah Ke Phool Charhata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi
Mera Ghazi Hojaye Razi

Jab 8 Muharam Aati Hai
Ik Bibi Ye Farmati Hai
Abbas Mere Bhai Mujh Ko
Teri Yaad Buhat Tarpati Hai
Uthta Hai Alam Jab Ghazi Ka
Be Sakhta Lab Par Aata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi
Mera Ghazi Hojaye Razi

Hur Jaun O Habeeb Aur Kya Muslim
Kya Aun O Muhammad Jaise Pisar
Tu Daswin Muharram Gaur To Kar
Kya Qasim O Akbar Kya Asgar
Har Larne Wala Maqtal Main
Ye Kah Ke Tegh Chalata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi
Mera Ghazi Hojaye Razi

Irfan E Aza Aur Akhtar Tum
Bas Nad E Ali Ka Wird Karo
Tum Ashiqa E Maula Ghazi Ho
Ye Saare Zamaane Se Kah Do
Ham Rahe Wafa Ke Pyason Ki
Ye Jumala Pyas Bujhata Hai
Bus Ghazi Hojaye Razi

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *