Bus EK Chaadar | Irfan Haider | Noha

Haye Sajjad, Haye Sajjad
Dayaar e shaam mein sajjad ka ye nauha tha
jinke ghar se hua islam mein barpa qayam
Haye afsos, wohi bibiya’n hui nang e asaar
nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)
 
1. Haye sajjad, hussain ibn e ali ka beta
tauq o zanjeer pehen kar jo sue shaam chala
jiska ghairat ke sabab raah mein sar bhi na utha
duniya walo ne jise sabr ka mabood kaha
phuphi ki khatir, wo mangta hai..(2)
damishq jaakar, bus ek chadar
 
nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)
 
2. Qafla shehr e halab pohcha jo shiree’n ke ghar
aur mili shiree’n ko sadaat ke aane ki khabar
haye zainab ko na pehchan saki nek siyar
pucha shehzadi se tum kaun ho aye nauhagar
kaha ye zainab yeh mangti hai..(2)
ali ki dukhtar, bus ek chadar
 
nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)
 
3. Umme kulsoom ye fizza se bayaa’n karti hai
bibiyo shaam ka bazaar abhi baqi hai
haye ghayyur baradar ki behen roti hai
naam bazaar ka aate hi tadap jaati hai
pukarti hai, kahi se laade..(2)
mere baradar, bus ek chadar
 
nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)
 
4. Al gharaz aa hi gaya raah mein bazaar e shaam
aisa mahaul tamashayi khade the har gaam
ek janib the udoo ek taraf tishna kaam
shimr ne aake kiya bint e ali se ye kalaam
bulaao abbas e bawafa ko..(2)
wo dede aakar bus ek chadar

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *