Zahra O Muhammad Ki Chahat Ka Sila Hain Hum Tasleem O Reza Hain Hum Razi Ba Raza Hain Hum Bujh Sakty Nahi Har Giz Misbah E Aza Hain Hum Zahra Ki Dua Hain Hum Zahra Ki Dua Hain Hum
Arbab E Aza Hain Hum
Sad Shukar Zahe Qismat Zahra Ki Dua Hain Hum
Arbab E Aza Hain Hum
Jitna Bhi Muqaddar Par Ham Naz Karen Kam Hai Ek Hath Mein Quran Hai Ek Hath Mein Parcham Hai Khallaq E Do Alam Ki Makhsoos Ata Hain Hum
Hussain Ya Hussain Mola
Arbab E Aza Hain Hum
Ay Kash Paye Nusrat Hum Karb O Bala Hoty Akbar Sy Kahin Pehly Asghar Py Fida Hoty Is Dill Ki Tamanna Ka Khud Aik Gila Hain Hum
Hussain Ya Hussain Mola
Arbab E Aza Hain Hum
Nikly Jo Najaf Sy Hum Ghazi Ka Alam Ly Kar Raahon Ny Qadam Choomy Barzakh Tha Pas E Manzar Mehsoos Hua Us Dam Yeh Khud Ko Keh Kya Hain Hum
Hussain Ya Hussain Mola
Arbab E Aza Hain Hum
Jab Karbobala Pahunchy Har Fard Hamara Tha Jis Samt Nazar Dali Jannat Ka Nazara Tha Tab Dill Mein Khayal Aaya Shahon Sy Siwa Hain Hum
Hussain Ya Hussain Mola
Arbab E Aza Hain Hum
Woh Qaom Hain Hum Jis Ki Ahmad Ny Basharat Di Dard E Dil E Zahra Ko Jis Qaom Ny Rahat Di Pehchano Jahan Walo Tehreek E Aza Hain Hum
Hussain Ya Hussain Mola
Arbab E Aza Hain Hum
Har Roz Tarhapty Hain Shabbir Ki Ghurbat Par Phirty Hain Nigahon Mein Ashoor Ky Sab Manzar Had Yeh Hai Keh Ab Khud Mein Ek Karbobala Hain Hum
Hussain Ya Hussain Mola
Arbab E Aza Hain Hum
Hum Logon Ki Qismat Mein Rakha Gaya Sheh Ka Gham Kaisy Na Bichayen Phir Ghar Ghar Mein Saf E Matam Sach Yeh Hai Keh Zahra Ki Makhsoos Dua Hain Hum
Hussain Ya Hussain Mola
Arbab E Aza Hain Hum
Asif Nahi Socha Tha Ummat Bhi Dagha Dy Gi Bey Jurm Aseeron Ki Durron Sy Khabar Ly Gi Sab Bhool Gaye Hashim Tasleem Shuda Hain Hum
Comment