Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali
Aa Soorat E Paiwand E Jahan Bood Ali Bood
Aa Naqash E Zameen Bood Zamaan Bood Ali Bood
Shahi Ky Wali Bood O Wasi Bood Ali Bood
Sultan E Sakha O Karam O Jood Ali Bood
Hum Adam Hum Shees O Hum Idrees O Hum Ayub
Hum Yousuf O Hum Younus O Hum Hood Ali Bood
Hum Moosa O Hum Essa O Hum Khizr O Hum Ilyas
Hum Saleh E Payghambar O Dawood Ali Bood
Taaraon Ny Abhi Ankh Na Kholi Thi Ali Tha
Na Aman Ka Paigham Na Holi Thi Ali Tha
Data Na Duayen Thi Na Jholi Thi Ali Tha
Khaliq Ki Zubaan Kunn Bhi Na Boli Thi Ali Tha
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Tootay Dillon Ki Sada Ali Maulana Ali
Taaj E Wilayat Tera Ali Maulana Ali
Rabb Ny Kiya Faisla
Khuld Mein Woh Jaye Ga
Jo Bhi Muhib Hai Tera
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Angusht Py Darwaza E Khaibar Ko Utha Lay
Jo Doobtay Sooraj Ko Isharay Sy Bula Lay
Toofanon Ka Rukh Phair Dy Mushkil Say Nikalay
Jab Chahay Jahan Chahay Jisay Chahay Bacha Lay
Kull E Emaan Hai Tu Ali Haider Ali Haider
Rabb Ki Pehchan Hai Tu Ali Haider Ali Haider
Deen Ki Jaan Hai Tu
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Teri Jo Fazeelat Hai Woh Afsaana Nahi Hai
Munkir Hai Jisay Teri Taraf Ana Nahi Hai
Jo Zaat E Muhammad Ko Hi Pehchana Nahi Hai
Duniya Nay Tujhay Mana Magar Jana Nahi Hai
Yeh Tera Jaah O Hasham Ali Haider Ali Haider
Sahib E Taigh E Do Dam Ali Haider Ali Haider
Hai Tera Sab Py Karam
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Tu Sab Sy Barhi Khaliq E Akbar Ki Nishani
Na Us Ki Koi Saani Na Tera Koi Saani
Kehtay Hain Yeh Quran Kay Tafseer O Ma’aani
Duniya Nay Abhi Teri Haqeeqat Nahi Jani
Ayat Ullah Bhi Tu Ali Haider Ali Haider
Wajh Ullah Bhi Tu Ali Haider Ali Haider
Asad Ullah Bhi Tu
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Hum Teray Muqallid Hain Tu Hi Rehbar E Azam
Hai Noor Tera Noor E Khudawand E Do Aalam
Ek Bhai Muhammad Hai Tera Noor E Mujassam
Jhutlaye Meri Baat Ko Kis Main Hai Bhala Dam
Hai Tu Bhi Aala Nasab Ali Haider Ali Haider
Shair E Haq Tera Laqab Ali Haider Ali Haider
Keh Rahay Hain Yehi Sab
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Doobtay Sooraj Nay Kaha Ali
Chand Sitaron Nay Kaha Ali
Laal Qalandar Ny Kaha
Tery Liye Hamd O Sana
Na Nooh Thay Na Un Ka Safeena Tha Ali Tha
Yasrab Tha Na Makkah Na Madina Tha Ali Tha
Abid Na Ibadat Ka Qareena Tha Ali Tha
Jis Waqt Py Marna Tha Na Jeena Tha Ali Tha
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Taskeen E Dill O Jaan To Ibadat Say Milay Gi
Tasdeek Ibadat Ko Muwaddat Say Milay Gi
Sajdon Ko Sanad Teri Wilayat Say Milay Gi
Tofeeq Hamen Teri Muhabbat Say Milay Gi
Jo Tujhay Manay Khuda Ali Haider Ali Haider
Woh Bhi Munkir Hai Tera Ali Haider Ali Haider
Yeh Aqeeda Hai Mera
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Parhta Hai Teri Shan Mein Quran Qaseeday
Al Hamd Sy Wan Naas Talak Hain Teray Charchay
Quran Ki Tilawat Sy Khulay Raaz Yeh Saray
Wal Fajr Bhi Wal Shams Bhi Wal Lail Bhi Tu Hai
Aqal Mein Ata Nahi Ali Haider Ali Haider
Qalb Sy Jata Nahi Ali Haider Ali Haider
Kya Hai Samjhata Nahi
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Juz Teray Kiya Jis Nay Saloni Ka Yeh Dawa
Jo Poochna Chaho Gay Jawab Us Ka Milay Ga
Hathon Ki Hatheli Ki Tarah Say Hai Yeh Duniya
Main Hota Tery Daor Mein To Pooch Hi Leta
Kun Fa Ya Kun Ka Safar Ali Haider Ali Haider
Yeh Sitaron Ka Nagar Ali Haider Ali Haider
Kya Hai Yeh Shams O Qamar
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Ummat Nay Teray Baad Yateemon Ko Sataya
Mola Teri Aulad Ko Hai Khoon Rulaya
Ek Pyasay Musafir Ka Lahu Baan Mein Bahaaya
Zainab Ki Rida Loot Kay Khaimon Ko Jalaya
Roi Thi Karbobala Ali Haider Ali Haider
Aaiye Shair E Khuda Ali Haider Ali Haider
Lut Gai Aal E Abaa
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Jab Shaam E Ghareeban Ki Rida Dasht Py Chai
Ghazi Ki Behan Ranj O Masayeb Ki Sataai
Ek Toota Hua Naiza Liye Pehrey Py Aai
Hathon Sy Jigar Thaam Ky Deti Thi Duhaai
Chin Gai Meri Rida Ali Haider Ali Haider
Bhai Bhi Qatal Hua Ali Haider Ali Haider
Aaiye Karbobala
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Kehtay Hain Zamanay Say Yehi Mesum O Mazhar
Hum Haider E Karrar Ki Dehleez Ky Nokar
Rehti Hai Hama Waqt Sada Aik Labon Par
Is Dar Say Barha Saray Zamanay Mein Nahi Ghar
Malik E Kon O Makaan Ali Haider Ali Haider
Saat Pardon Mein Nihaan Ali Haider Ali Haider
Hai Aqeedat Ki Azaa
Ali Maulana Ali Ali Maulana Ali
Comment