Akbar Haye Haye Akbar, Akbar Haye Haye Akbar
Haye Jis Waqt Gira Zeen Se Hum Shakal E Payamber
Shabeer Ko Zainab Ne Sada Di Yeh Tarap Kar
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Hum Mil Ke Utha Lein Ge Jawaan Lal Ka Lasha
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Atharah Baras Wale Ka Sar Gaud Mein Le Kar
Main Nad E Ali Parhti Rahon Gi Aye Baradar
Tum Seena E Akbar Se Nikalo Ge Jo Naiza
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Jo Zakhm Lage Hain Woh Dikhaye Ga Na Tum Ko
Shayad Woh Takaluf Mein Bataye Ga Na Tum Ko
Main Maa Hoon Magar Mujh Se Chupa Hi Nahi Sakta
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Main Janti Hoon Kaise Jawaan Hote Hain Bete
Our Dekhne Par Jaein Agar Unn Ke Janae
Ab Main Bhi Samajh Sakti Hoon Aoulad Ka Sadma
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Aane Nahi Dongi Main Kissi Ko Bhi Wahan Par
Jee Barh Ke Galay Milna Jawaan Lal Se Ja Kar
Main Maut Se Keh Dongi Zara Dair Thehar Ja
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Baba Mere Baba Ki Sada De Tu Raha Hai
Aawaz Se Lagta Hai Bohat Door Gira Hai
Lo Hath Mera Thamo Bohat Door Hai Jana
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Oss Karb Ki Halat Se Nikale Ga Tumhein Kaun
Aare Woh Ayeriyaan Ragray Ga Sanbhale Ga Tumhein Kaun
Chadar Se Bana Loon Gi Main Kuch Dair Ko Pardah
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Tooti Hai Kamar Aap Ki Aye Mere Baradar
Gir Gir Ke Uthein Ge Tu Hansein Ge Yeh Sitamgar
Main Aap Ko Banne Tu Nahi Doon Gi Tamasha
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Roti Hai Koi Bibi Musalsal Pas E Pardah
Jab Se Hai Suna Mir Takallum Tera Noha
Bhai Se Gale Mil Ke Behan Boli Dobarah
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Comment