Zindagi bhar tadapta raha ishq me
apne maula ka deedar kar na saka
chal rahi hai meri saase sue lahad
ae farishto mujhe karbala le chalo
karbala le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo..(2)
le chalo le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo
mai dua hu lahad se utha le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo
1. Apne maula ke qadmo ko chumunga mai
farsh se arsh ko aaj chhu lunga mai
ye ibadat to hargiz na bhulunga mai, bhulunga mai
tumko allah ka wasta le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo, le chalo le chalo
2. Haq adaai hu mai tumko maloom hai
ek fidai hu mai tumko maloom hai
karbalai hu mai tumko maloom hai, maloom hai
meri mayyat yaha se utha le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo, le chalo le chalo
3. Ye lahad to nahi hai thikana mera
yani ab hai wahi aab o daana mera
ban gaya hai wahi ashiyana mera, ashiyana mera
ya najaf mujhko ya nainawa le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo, le chalo le chalo
4. Sar ke bal aaj chalta hua jaunga
hai irada yahi samarrah jaunga
mai khorasan najaf karbala jaunga, karbala jaunga
wo jaha hai mujhe us jagah le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo, le chalo le chalo
5. Allah allah ghazi ka robo hasham
sina e aab par usne gaadha alam
socha sahil pe ye behre ehle haram, ehle haram
dosh par rakh ke ye alqama le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo, le chalo le chalo
6. Ae abad meri jannat hai karbobala
meri matti me hai ishq e aale eba
kuch nahi chahiye mujhko uske siwa, uske siwa
suwe daaman e ehle kisa le chalo
ae farishto mujhe karbala le chalo, le chalo le chalo
Comment