Shehre nabi teri galiyo ka nakhsha hi kuch aisa hai
Khuld bhi hai mustaq ziyarat jalwa hi kuch aisa hai
Dil ko sukun de aankh ko thandak rouza hi kuch aisa hai
Farshe zami par arshe bari ho lagta hi kuch aisa hai
Unke dar par aisa jhuka dil uthne ka ab hosh nahi
Ahle shariyat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai
Sibte nabi hai pushte nabi par aur sajde ki haalat hai
AAQA ne tasbih bhadhaii Beta hi kuch aisa hai
RAB ke siwa dekha na kisine farshi ho ya arshi ho
Unke haqiqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai
Taaj ko apne qaasa banaa kar haazir hai shaahan e jaha
Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai
Kham hai yaha jhamshid o sikandar is me kya hairani hai
Unke gulaamo ka ai Akhtar rutba hi kuch aisa hai
Comment