Me Madine chala mein Madine chala
Phir karam ho gaya Me Madine chala
Kaif sa cha gaya Me Madine chala
Jhoomta jhoomta Me Madine chala
Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar
Chahiye aur kya Me Madine chala
Darkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga
Samanay ankhon kay jab gunbad-e-sabz ho ga
Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar
Kya suroor aega Me Madine chala
Jab gumbad-e-khizra pe woh pehli nazar gayi
Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi
Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur
Paye ga dil jila Me Madine chala
Ashk thamtay nahi paon jamtay nahi
Larkharaata hua Me Madine chala
Mere Siddique Umar ho salam aap par
Aur rehmat sadaa Me Madine chala
Woh uhod ki zammen jis k ander makeen
Mere hamza piya Me Madine chala
Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar
Ab tou dai dai Khuda (SWT) Me Madine chala
Saaqia mai pila Me Madine chala
Mast-o-bekhud bana Me Madine chala
Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar
Daikho daikho zarra Me Madine chala
Daikh taaray mujhe yeh nazaray mujhe
Tum bhi daikho zarra Me Madine chala
Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher
Itni jaldi bhi kya Me Madine chala
Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain
Woh talab se siwa Me Madine chala
Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor
Bakhswanay chala Me Madine chala
Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen
Mere Madani Zia Me Madine chala
Un k minaar par jab paray gi nazar
Kya saroor aega Me Madine chala
Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar
Kya saroor aega Me Madine chala
Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay
Jab chalay qaafila Me Madine chala
Kya karega idher baandh rakht-e-safar
Chal obaid-e-raza Me Madine chala
Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza
Soch tou kuch zarra Me Madine chala
Me tou bus yoon hi tha Me ki aukaat kya
Qaafia yeh mila Me Madine chala
Comment