Koi Khilqat mein Un (S.A.W) Say nahi bada | Qadri Waheed Zafar Qasmi | 2015

 

Koi Khilqat mein Un (S.A.W) Say nahi bada
Woh (S.A.W) Habeeb-e-Khuda Unki (S.A.W) Kya Baat Hai
Hum Gunahgar Hain Hum Siyah Kar Hain
Woh (S.A.W) Shafi-ul-wara Unki (S.A.W) Kya Baat hai

Aur Kis ko Urooj jitna Hasil huwa
Sara Quran hi Un (S.A.W) Pay Nazil Huwa
Zeenat-e-Arsh Hain Azmat-e-Farsh Hain
Woh Makeen-e-Hira Unki (S.A.W) Kya Baat Hai

Sab Say Afzal Do Aalam Main Zaat Unki (S.A.W) Hai
Woh hi Mahboob-e-Rab Kainat Unki (S.A.W) Hai
Rabb-e-Akbar nay jo kuch bhi Hum ko diya
Unke (S.A.W) Sadqay Mila Unki (S.A.W) Kya Baat Hai

Jo Bhi Un (S.A.W) Say Mila Usko Rab Milgaya
Bay Adab Zindagi ko adab milgaya
Rab Se Woh (S.A.W) Aashna Un (S.A.W) Say Rab Ashna
Woh (S.A.W) Daleel-e-Khuda Unki (S.A.W) Kya Baat Hai

Unki (S.A.W) Khatir Do Aalam banaye gaye
Unke (S.A.W) Anwaar se phir sajaye gaye
Unke (S.A.W) Rutbe ko jitney badaye gaye
Akhl se mawara Unki (S.A.W) Kya Baat hay

Zindagi ka safar ho na jaye tamam
Un (S.A.W) pey Aijaz bhejo Durood o Salam
Woh (S.A.W) Karam hi karam Woh (S.A.W) Ataa hi Ataa
Woh (S.A.W) Dua hi Dua Unki (S.A.W) Kya Baat Hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *